teri aamad mein taKHir kaise hui
Interesting Fact
(Seep, Karachi, Volume 26, May-June 1973)
terī aamad meñ tāḳhīr kaise huī
zindagī maut ke darmiyāñ ek lamhe ke pur-haul raste pe tū ne
hameñ muntazir kaise rakhā
tujhe kis ne rokā batā
terī aamad meñ tāḳhīr kaise huī
rāstoñ par havāoñ meñ ḳhvāhish kī ḳhushbū
tire lams kī chāhatoñ meñ bhaTaktī rahī
aur majbūr jismoñ meñ phailī baġhāvat kī bū
tere āzād hāthoñ kī hasrat meñ andhī fasīloñ se laḌtī rahī
tere sāñsoñ kī dastak
siyah-baḳht galiyoñ meñ sūraj ke rūdan sunātī rahī
tere qadmoñ kī aahaT
javāñ-sāl sīnoñ ke andar dhaḌaktī rahī
kis ne rokā tujhe
bol tū ne hameñ muntazir kaise rakkhā
batā terī aamad meñ tāḳhīr kaise huī
būḌhī maa.eñ duāoñ kī shaffāf chādar tire vāste
apnī sāñsoñ se din-rāt buntī rahīñ
laḌkiyāñ aur laḌke
chaurāhoñ dorāhoñ pe apne lahū se tirā naam likhte rahe
zard bachche hathelī pe ujlī umīdoñ ke phūloñ ko le kar
tirī raah takte rahe
kis ne rokā tujhe
bol tū ne hameñ muntazir kaise rakkhā
batā terī aamad meñ tāḳhīr kaise huī
sard āñkhoñ ke gadle ufuq par
tire aks ke chāñd kī raakh uḌtī hai
andhī fasīloñ ke nīche humakte hue ḳhuun ke jalte bujhte hue
jugnuoñ kā dhuāñ hai
javāñ-sāl sapnoñ kī qabroñ meñ kaalī havā sarsarātī hai
aur terī aamad kī ḳhvāhish meñ jiite hue log
jismoñ pe khiñchte hue saḳht saffāk lamhoñ meñ mahsūr
ḳhvāboñ kī dahlīz par mar chuke haiñ
thakī haarī ābādiyāñ ḳhāmushī kā kafan oḌh kar
maut meñ so rahī haiñ
chaurāhoñ dorāhoñ pe likkhā huā naam koī nahīñ jo paḌegā
koī nahīñ jo añdherī fasīloñ se aa kar laḌegā
teri aamad mein taKHir kaise hui
zindagi maut ke darmiyan ek lamhe ke pur-haul raste pe tu ne
hamein muntazir kaise rakha
tujhe kis ne roka bata
teri aamad mein taKHir kaise hui
raston par hawaon mein KHwahish ki KHushbu
tere lams ki chahaton mein bhaTakti rahi
aur majbur jismon mein phaili baghawat ki bu
tere aazad hathon ki hasrat mein andhi fasilon se laDti rahi
tere sanson ki dastak
siyah-baKHt galiyon mein suraj ke rudan sunati rahi
tere qadmon ki aahaT
jawan-sal sinon ke andar dhaDakti rahi
kis ne roka tujhe
bol tu ne hamein muntazir kaise rakkha
bata teri aamad mein taKHir kaise hui
buDhi maen duaon ki shaffaf chadar tere waste
apni sanson se din-raat bunti rahin
laDkiyan aur laDke
chaurahon dorahon pe apne lahu se tera nam likhte rahe
zard bachche hatheli pe ujli umidon ke phulon ko le kar
teri rah takte rahe
kis ne roka tujhe
bol tu ne hamein muntazir kaise rakkha
bata teri aamad mein taKHir kaise hui
sard aankhon ke gadle ufuq par
tere aks ke chand ki rakh uDti hai
andhi fasilon ke niche humakte hue KHun ke jalte bujhte hue
jugnuon ka dhuan hai
jawan-sal sapnon ki qabron mein kali hawa sarsaraati hai
aur teri aamad ki KHwahish mein jite hue log
jismon pe khinchte hue saKHt saffak lamhon mein mahsur
KHwabon ki dahliz par mar chuke hain
thaki haari aabaadiyan KHamushi ka kafan oDh kar
maut mein so rahi hain
chaurahon dorahon pe likkha hua nam koi nahin jo paDega
koi nahin jo andheri fasilon se aa kar laDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.