teri aarzu
yuuñ basī rahtī hai mere dil meñ terī aarzū
jis tarah mai meñ nasha hai aur hai phūloñ meñ bū
jis tarah hai sabza-e-begāna meñ josh-e-numū
jis tarah mastī fazāoñ meñ nihāñ hai chār-sū
is tarah rahtī hai mere dil meñ terī aarzū
jis tarah barbat meñ naġhma jis tarah ātish meñ nuur
jis tarah qaus-o-quzah meñ rang baada meñ surūr
jis tarah tālib kī āñkhoñ meñ mohabbat kā zuhūr
is tarah rahtī hai mere meñ terī aarzū
jis tarah paanī meñ ThanDak jis tarah gul meñ sharāb
jis tarah ḳhanjar meñ jauhar jis tarah motī meñ aab
jis tarah arz-o-samā meñ fitrat-e-husn-o-shabāb
is tarah rahtī hai mere dil meñ terī aarzū
jis tarah kaif-e-mohabbat meñ bahār-e-zindagī
jis tarah doshīza-e-fitrat ke aariz par hañsī
jis tarah shor-e-ġham-e-dil meñ tilism-e-ḳhāmushī
is tarah rahtī hai mere dil meñ terī aarzū
yun basi rahti hai mere dil mein teri aarzu
jis tarah mai mein nasha hai aur hai phulon mein bu
jis tarah hai sabza-e-begana mein josh-e-numu
jis tarah masti fazaon mein nihan hai chaar-su
is tarah rahti hai mere dil mein teri aarzu
jis tarah barbat mein naghma jis tarah aatish mein nur
jis tarah qaus-o-quzah mein rang baada mein surur
jis tarah talib ki aankhon mein mohabbat ka zuhur
is tarah rahti hai mere mein teri aarzu
jis tarah pani mein ThanDak jis tarah gul mein sharab
jis tarah KHanjar mein jauhar jis tarah moti mein aab
jis tarah arz-o-sama mein fitrat-e-husn-o-shabab
is tarah rahti hai mere dil mein teri aarzu
jis tarah kaif-e-mohabbat mein bahaar-e-zindagi
jis tarah doshiza-e-fitrat ke aariz par hansi
jis tarah shor-e-gham-e-dil mein tilism-e-KHamushi
is tarah rahti hai mere dil mein teri aarzu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.