teri shan
ham sab bālak haiñ nādān
buddhī ham ko do bhagvān
peḌoñ kī har Daal harī hai
phuul baḌhāte in kī shaan
maarg dikhā.eñ chāñd-sitāre
aur deñ ThanDak vo har aan
jhuum jhuum kar sadā havā.eñ
kartī rahtī haiñ yash-gān
phuul phaloñ aur ann kā daatā
detā sab ko jīvan-dān
tū ne sab kuchh diyā hameñ to
phir bhī māñgeñ haiñ anjān
tere kaam meñ farq na aa.e
āñdhī ho yā ho tūfān
nek baneñ nekī ko jāneñ
de ham ko aisī pahchān
tū hī sab kuchh dene vaalā
tere ham par haiñ ehsān
saty-mārg par chalte jaa.eñ
sach kī do ham ko pahchān
hum sab baalak hain nadan
buddhi hum ko do bhagwan
peDon ki har Dal hari hai
phul baDhate in ki shan
marg dikhaen chand-sitare
aur den ThanDak wo har aan
jhum jhum kar sada hawaen
karti rahti hain yash-gan
phul phalon aur ann ka data
deta sab ko jiwan-dan
tu ne sab kuchh diya hamein to
phir bhi mangen hain anjaan
tere kaam mein farq na aae
aandhi ho ya ho tufan
nek banen neki ko jaanen
de hum ko aisi pahchan
tu hi sab kuchh dene wala
tere hum par hain ehsan
saty-marg par chalte jaen
sach ki do hum ko pahchan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.