Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri yaad meri bhul

Sabir Dutt

teri yaad meri bhul

Sabir Dutt

MORE BYSabir Dutt

    tere ḳhvāboñ ke darīchoñ se haTā kar parde

    kyuuñ jagā.ūñ tirī ḳhvābīda tamannāoñ ko?

    mere armān sisakte raheñ mere dil meñ

    aur ḳhabar tak na mile shahr salmāoñ ko

    haa.e vo mere ḳhayāloñ daraḳhshāñ vaadī

    jaane kyuuñ chāñd sitāroñ tamannā thī

    uTh ga.ī hogī yūñhī aañkh mirī terī taraf

    log kahte haiñ sahāroñ tamannā thī

    is se pahle na ḳhabar thī mujhe merī mahbūb!

    zulf ke ḳham meñ siyah maar chhupe hote haiñ

    jin ko sab kahte haiñ gulshan mahaktī kaliyāñ

    un ke dāman meñ bhī kuchh ḳhaar chhupe hote haiñ

    kuchh nahīñ is ke sivā aur tamannā merī!

    vaqt ke saath har ik zaḳhm ko bhar jaane de

    phir maiñ samjhūñgā mirī haar mirī haar nahīñ

    chand lamhoñ hai ye ziist guzar jaane de

    tere ḳhvāboñ ke darīchoñ se haTā kar parde

    kyuuñ jagā.ūñ tirī ḳhvābīda tamannāoñ ko

    tere KHwabon ke darichon se haTa kar parde

    kyun jagaun teri KHwabida tamannaon ko?

    mere arman sisakte rahen mere dil mein

    aur KHabar tak na mile shahr ki salmaon ko

    hae wo mere KHayalon ki daraKHshan wadi

    jaane kyun chand sitaron ki tamanna ki thi

    uTh gai hogi yunhi aankh meri teri taraf

    log kahte hain sahaaron ki tamanna ki thi

    is se pahle na KHabar thi mujhe meri mahbub!

    zulf ke KHam mein siyah mar chhupe hote hain

    jin ko sab kahte hain gulshan ki mahakti kaliyan

    un ke daman mein bhi kuchh KHar chhupe hote hain

    kuchh nahin is ke siwa aur tamanna meri!

    waqt ke sath har ek zaKHm ko bhar jaane de

    phir main samjhunga meri haar meri haar nahin

    chand lamhon ki hai ye zist guzar jaane de

    tere KHwabon ke darichon se haTa kar parde

    kyun jagaun teri KHwabida tamannaon ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now