tere mātam meñ mujh se kahte haiñ
dhaḌkaneñ dil kī jā pahuñchtī haiñ
jaane vaale jahāñ pe rahte haiñ
apnī duniyā se un kī duniyā tak
tez dhāre asar ke bahte haiñ
sog jitnā yahāñ hai jin ke liye
utne hī dukh vahāñ vo sahte haiñ
kyā ġhalat thī vo merī betābi
kyā ye sach hai jo log kahte haiñ
maiñ ne ro-ro ke tujh ko yaad kiyā
tujh ko muztar kiyā ki shaad kiyā
maiñ ne chāhā ki bhuul jā.ūñ tujhe
dil ko sau sau tarah se samjhāyā
dil na uThtā thā terī turbat se
minnateñ karke maiñ uThā laayā
ghar meñ baiThā to terī bātoñ ko
mujh se dīvār-o-dar ne dohrāyā
chhoḌ kar ghar ravāñ-davāñ bhī rahā
chain lekin kahīñ nahīñ paayā
kabhī bhūle se ġham jo bhuul gayā
jaise zinda hai tū dhiyān aaya
haa.e phir maiñ ne tujh ko yaad kiyā
tujh ko muztar kiyā ki shaad kiyā
ham-nashīnī kī umr ko kotāh
kar diyā go tirī shitābī ne
terī sūrat ko bhūlne na diyā
ruḳh-e-māzī kī be-naqābī ne
lazzat-e-kārobār gum kar dī
ḳhāna-e-shauq kī ḳharābī ne
ye tamāshā ajiib hai ki kabhī
kisī duniyā kī kāmyābī ne
itifāqan jo dil ko shaad kiyā
maiñ ne tujh ko taḌap ke yaad kiyā
tere matam mein mujh se kahte hain
dhaDkanen dil ki ja pahunchti hain
jaane wale jahan pe rahte hain
apni duniya se un ki duniya tak
tez dhaare asar ke bahte hain
sog jitna yahan hai jin ke liye
utne hi dukh wahan wo sahte hain
kya ghalat thi wo meri betabi
kya ye sach hai jo log kahte hain
main ne ro-ro ke tujh ko yaad kiya
tujh ko muztar kiya ki shad kiya
main ne chaha ki bhul jaun tujhe
dil ko sau sau tarah se samjhaya
dil na uThta tha teri turbat se
minnaten karke main uTha laya
ghar mein baiTha to teri baaton ko
mujh se diwar-o-dar ne dohraya
chhoD kar ghar rawan-dawan bhi raha
chain lekin kahin nahin paya
kabhi bhule se gham jo bhul gaya
jaise zinda hai tu dhiyan aaya
hae phir main ne tujh ko yaad kiya
tujh ko muztar kiya ki shad kiya
ham-nashini ki umr ko kotah
kar diya go teri shitabi ne
teri surat ko bhulne na diya
ruKH-e-mazi ki be-naqabi ne
lazzat-e-karobar gum kar di
KHana-e-shauq ki KHarabi ne
ye tamasha ajib hai ki kabhi
kisi duniya ki kaamyabi ne
itifaqan jo dil ko shad kiya
main ne tujh ko taDap ke yaad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.