teri yaaden tere KHayal
dil ko vahm-o-gumān hotā hai
jaise āvāz tum ne dī mujh ko
ruuh par de raho ho tum dastak
chauñk jaatī huuñ maiñ achānak se
bhārī hai sub.h shaam gum-sum sī
raat bhī ḳhaufnāk lagtī hai
sūnā-pan aur sirf māyūsī
chīḳh uThtī hai merī ḳhāmoshī
dekhtī rahtī huuñ vo tasvīreñ
qaid ik umr jin meñ hai apnī
naqsh rah rah ke kuchh ubharte haiñ
raqs maazī kā jaarī rahtā hai
vo jo guzre the saath meñ lamhe
merī tanhā.iyoñ pe haavī haiñ
chand uljhe hue savāl liye
terī yādeñ tire ḳhayāl liye
rāt-din raunaqeñ thī mahfil thī
ek ek lamha ek manzar thā
aaj kaisā maqām aayā hai
zindagī tham ga.ī yahāñ aa kar
saarī dilchaspiyāñ tamām huī
ho ga.e phīke rang duniyā ke
saare badle hue nazāre haiñ
ham bhī qismat se kaisā haare haiñ
dil ko wahm-o-guman hota hai
jaise aawaz tum ne di mujh ko
ruh par de raho ho tum dastak
chaunk jati hun main achanak se
bhaari hai subh sham gum-sum si
raat bhi KHaufnak lagti hai
suna-pan aur sirf mayusi
chiKH uThti hai meri KHamoshi
dekhti rahti hun wo taswiren
qaid ek umr jin mein hai apni
naqsh rah rah ke kuchh ubharte hain
raqs mazi ka jari rahta hai
wo jo guzre the sath mein lamhe
meri tanhaiyon pe hawi hain
chand uljhe hue sawal liye
teri yaaden tere KHayal liye
raat-din raunaqen thi mahfil thi
ek ek lamha ek manzar tha
aaj kaisa maqam aaya hai
zindagi tham gai yahan aa kar
sari dilchaspiyan tamam hui
ho gae phike rang duniya ke
sare badle hue nazare hain
hum bhi qismat se kaisa haare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.