tesha-ba-dast
kab se in pahāḌoñ ke siine chiir chiir kar
in kī rageñ khoj khoj kar
la.al-o-javāhar nikāl rahā huuñ
Dheroñ ke Dher lagā rahā huuñ
ba-zāhir bahut ḳhush huuñ
ki la.al-o-javāhar ke ye ambār maiñ ne lagā.e haiñ
ba-bātin albatta udaas huuñ
ki vo la.al jis kī mujhe talāsh hai
hanūz merī dastaras se pare hai
dar-asl vo pahāḌ abhī tak
merī aañkh se ojhal hai
jis meñ vo rag hai
jis rag meñ is la.al ke
hone kī ummīd hai
kab se in pahaDon ke sine chir chir kar
in ki ragen khoj khoj kar
lal-o-jawahar nikal raha hun
Dheron ke Dher laga raha hun
ba-zahir bahut KHush hun
ki lal-o-jawahar ke ye ambar main ne lagae hain
ba-baatin albatta udas hun
ki wo lal jis ki mujhe talash hai
hanuz meri dastaras se pare hai
dar-asl wo pahaD abhi tak
meri aankh se ojhal hai
jis mein wo rag hai
jis rag mein is lal ke
hone ki ummid hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.