tez aahaT
zindagī mahv-e-safar hai na.e andāz ke saath
haiñ lab-e-shauq pe manzil ke tarāne raqsāñ
ham-safīroñ ke qadam itne ham-āhang nahīñ
phir bhī in qadmoñ kī aahaT jo bahut tez hai aaj
duur tak guuñj rahī hai usī paiġhām ke saath
log sunte hī jise ḳhvāb se jaag uTThe haiñ
qarn-hā-qarn kī pastī se nikal aa.e haiñ
aaj bhī ham usī paiġhām ke ā.īne meñ
hāl-o-ā.inda ke jalvoñ kī jhalak paate haiñ
aaj bhī ham usī paiġhām kī kirneñ le kar
jagmagātī huī manzil kī taraf jaate haiñ
zindagi mahw-e-safar hai nae andaz ke sath
hain lab-e-shauq pe manzil ke tarane raqsan
ham-safiron ke qadam itne ham-ahang nahin
phir bhi in qadmon ki aahaT jo bahut tez hai aaj
dur tak gunj rahi hai usi paigham ke sath
log sunte hi jise KHwab se jag uTThe hain
qarn-ha-qarn ki pasti se nikal aae hain
aaj bhi hum usi paigham ke aaine mein
haal-o-ainda ke jalwon ki jhalak pate hain
aaj bhi hum usi paigham ki kirnen le kar
jagmagati hui manzil ki taraf jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.