tez chalo
ye kah rahā hai dil-e-be-qarār tez chalo
bahut udaas haiñ zanjīr o daar tez chalo
jo thak ga.e haiñ unheñ gard-e-rāh rahne do
kisī kā ab na karo intizār tez chalo
ḳhizāñ kī shaam kahāñ tak rahegī sāya-fagan
bahut qarīb hai sub.h-e-bahār tez chalo
tumhī se ḳhauf-zada haiñ zamīn o zar vaale
tumhī ho chashm-e-sitam-gar pe baar tez chalo
karo ḳhulūs o mohabbat ko rahnumā apnā
nahīñ durust diloñ meñ ġhubār tez chalo
bahut haiñ ham meñ yahāñ log guftugū-pesha
hai un kā sirf yahī kārobār tez chalo
ḳhirad kī sust-ravī se kise milī manzil
junūñ hī ab to karo iḳhtiyār tez chalo
ye kah raha hai dil-e-be-qarar tez chalo
bahut udas hain zanjir o dar tez chalo
jo thak gae hain unhen gard-e-rah rahne do
kisi ka ab na karo intizar tez chalo
KHizan ki sham kahan tak rahegi saya-fagan
bahut qarib hai subh-e-bahaar tez chalo
tumhi se KHauf-zada hain zamin o zar wale
tumhi ho chashm-e-sitam-gar pe bar tez chalo
karo KHulus o mohabbat ko rahnuma apna
nahin durust dilon mein ghubar tez chalo
bahut hain hum mein yahan log guftugu-pesha
hai un ka sirf yahi karobar tez chalo
KHirad ki sust-rawi se kise mili manzil
junun hi ab to karo iKHtiyar tez chalo
- Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 369)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.