tezab, aakar KHushbu ka
niibū pahāḌī ke dāman meñ
ek gaañv hai
'madrāban'
jahāñ meñ paidā huā thā
(merā naam mohamād-fārūq hai)
merī maañ seb ki tarah surḳh aur mīThī thī
gulāb ki tarah komal aur mo.attar
vo ḳhushbū kā ākār thī
lagī lipTī chhal-kapaT jhuuT
ye lafz us ne sune to the
āzmā.e nahīñ the
dohrā.e nahīñ the
radio se nizār-qabānī kā qasīda-e-mutavahashshiya nashr hotā hai
yā koī muġhannī kālīdās kā rītū-samhār sunātā
to vo phuuT phuuT kar rotī
maiñ pūchhtā rone kā kāran
to kahtī
devtāoñ kī in zabānoñ meñ
jaadū kā asar hai
in meñ saty kī dishā
aur sirāt-al-mustaqīm kī nishān-dahī hai
maiñ bār-hā us kī sādgī par ro detā
merā baap dāñtoñ meñ dynamite dabā.e
uñgliyoñ ke poroñ meñ tezāb ke ban ugātā hai
aur piile murda mariyal kāġhaz ke chehre par
lahū ke phuul kāḌhtā hai
ḳhud se alag ho kar ḳhud par miT kar
apnī jā.edād se pyaar karne lagtā hai
vo aaTh jahāzoñ kā mālik hai
jo us ne vaqt ke samundar ke pāniyoñ par utaar diye haiñ
aur ḳhud ek control-rōm meñ baiTh kar
un kī harkāt kā ta.ayyun kartā hai
maiñ bhī us kā ek jahāz huuñ
patthar chabānā, palkoñ kī jhāḌiyoñ par sidra ugānā
sub.h-savere masjid ke darvāze par ḳhudā se
āñkheñ churā kar guzar jaanā
aur ḳhudā ke mahbūb par farefta ho kar
ḳhudā se raqābat baañT lenā
us kī adā ban gayā hai
maiñ surḳh mīThe seb aur tezāb ke isī
imtizāj kī paidā-vār huuñ
maiñ kaun huuñ
nibu pahaDi ke daman mein
ek ganw hai
'madraban'
jahan mein paida hua tha
(mera nam mohamad-faruq hai)
meri man seb ki tarah surKH aur miThi thi
gulab ki tarah komal aur moattar
wo KHushbu ka aakar thi
lagi lipTi chhal-kapaT jhuT
ye lafz us ne sune to the
aazmae nahin the
dohrae nahin the
radio se nizar-qabani ka qasida-e-mutawahashshiya nashr hota hai
ya koi mughanni kalidas ka ritu-samhaar sunata
to wo phuT phuT kar roti
main puchhta rone ka karan
to kahti
dewtaon ki in zabanon mein
jadu ka asar hai
in mein saty ki disha
aur siraat-al-mustaqim ki nishan-dahi hai
main bar-ha us ki sadgi par ro deta
mera bap danton mein dynamite dabae
ungliyon ke poron mein tezab ke ban ugata hai
aur pile murda mariyal kaghaz ke chehre par
lahu ke phul kaDhta hai
KHud se alag ho kar KHud par miT kar
apni jaedad se pyar karne lagta hai
wo aaTh jahazon ka malik hai
jo us ne waqt ke samundar ke paniyon par utar diye hain
aur KHud ek control-room mein baiTh kar
un ki harkat ka tayyun karta hai
main bhi us ka ek jahaz hun
patthar chabana, palkon ki jhaDiyon par sidra ugana
subh-sawere masjid ke darwaze par KHuda se
aankhen chura kar guzar jaana
aur KHuda ke mahbub par farefta ho kar
KHuda se raqabat banT lena
us ki ada ban gaya hai
main surKH miThe seb aur tezab ke isi
imtizaj ki paida-war hun
main kaun hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.