tha KHwab mein KHayal ko tujhse muamla
āñdhiyāñ hotī haiñ kyaa, tūfān kahte haiñ kise!
pahle to miTTī kī ik hastī banā, phir mujh se pūchhā
bārisheñ hotī haiñ kyaa, sailāb kahte haiñ kise!
pahle to kāġhaz kī ik kashtī banā, phir mujh se pūchhā
pūchhtā kyā hai batā! ai ḳhvāb, mere ḳhayāl se
TuuT jaatī haiñ merī nīndeñ, tire siñgār se
dekh kar ye jazba be-iḳhtiyārī, mehrbāñ
sar se pā tak ātish-e-ḳhāmosh ho jaatā huuñ maiñ
''maiñ'' nahīñ rahtā huuñ ''maiñ''
āġhosh ho jaatā huuñ ''maiñ''
dekhtā huuñ jhāñk kar dil meñ, jahāñ parde meñ gum
ḳhūbsūrat sī tirī tasvīr kā nāmūs thā
ab vahāñ par vo nahīñ, nāmūs bhī koī nahīñ
haañ magar tū hai vahāñ sar-tā-qadam
fānūs meñ
pairahan ik ik utāre jā rahī hai
kyā kahūñ!
kaise kahūñ!
har raaz uTh jaane ke ba.ad
maiñ to mushkil ho gayā āsāñ hai tū
ā.īne ke sāmne kī baat kyā
haañ pas-e-ā.īna bhī uryāñ hai tū
jin meñ the tere zard aur zamurrad ke charāġh
jin meñ the almās tere aur almāsoñ ke daaġh
jin meñ thā ik hauz terā aur us meñ phuul baaġh
jo utāre haiñ badan se be-badan, kyā chuum luuñ!
naqsh-e-fariyādī se tere pairahan, kyā chuum luuñ!
aandhiyan hoti hain kya, tufan kahte hain kise!
pahle to miTTi ki ek hasti bana, phir mujh se puchha
barishen hoti hain kya, sailab kahte hain kise!
pahle to kaghaz ki ek kashti bana, phir mujh se puchha
puchhta kya hai bata! ai KHwab, mere KHayal se
TuT jati hain meri ninden, tere singar se
dekh kar ye jazba be-iKHtiyari, mehrban
sar se pa tak aatish-e-KHamosh ho jata hun main
main nahin rahta hun main
aaghosh ho jata hun main
dekhta hun jhank kar dil mein, jahan parde mein gum
KHubsurat si teri taswir ka namus tha
ab wahan par wo nahin, namus bhi koi nahin
han magar tu hai wahan sar-ta-qadam
fanus mein
pairahan ek ek utare ja rahi hai
kya kahun!
kaise kahun!
har raaz uTh jaane ke baad
main to mushkil ho gaya aasan hai tu
aaine ke samne ki baat kya
han pas-e-aina bhi uryan hai tu
jin mein the tere zard aur zamurrad ke charagh
jin mein the almas tere aur almason ke dagh
jin mein tha ek hauz tera aur us mein phul bagh
jo utare hain badan se be-badan, kya chum lun!
naqsh-e-fariyaadi se tere pairahan, kya chum lun!
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 127)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.