Thahra pani
chhal chhal kartī
dhārā paanī kī
zehn ko jaise
ā.īna dikhā.e
dam dam baḌhtī
jīvan dhārā kā
bharam batā.e
par vaqt jaisā
shītal jal bhī
muTThī meñ se
chhin jaatā hai
ḳhālī muTThī
bhīgī bhīgī
yaad dilā.e
shītal jal kī
ās-pās
sab Thahrā Thahrā hai
jaise dhārā
jam sī ga.ī ho
jīvan jaise
tham sā gayā ho
is Thahre Thahre
gadle paanī meñ
ḳhauf kī kaalī kaalī machhlī
sab jaise
merī hī taak meñ
murda banī hoñ
aur maiñ
in ko zinda karne ko
anjāne meñ
sab ko ḳhush karne ko
apnā aap
kaise gañvā duuñ
jamī dhārā ke
gadle paanī meñ
apnā aks
kaise Dubo duuñ
chhal chhal karti
dhaara pani ki
zehn ko jaise
aaina dikhae
dam dam baDhti
jiwan dhaara ka
bharam batae
par waqt jaisa
shital jal bhi
muTThi mein se
chhin jata hai
KHali muTThi
bhigi bhigi
yaad dilae
shital jal ki
aas-pas
sab Thahra Thahra hai
jaise dhaara
jam si gai ho
jiwan jaise
tham sa gaya ho
is Thahre Thahre
gadle pani mein
KHauf ki kali kali machhli
sab jaise
meri hi tak mein
murda bani hon
aur main
in ko zinda karne ko
anjaane mein
sab ko KHush karne ko
apna aap
kaise ganwa dun
jami dhaara ke
gadle pani mein
apna aks
kaise Dubo dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.