thakan ki ek sham
kaam kitne adhūre paḌe the
aur raushnī kam se kam ho rahī thī
mujhe yuuñ lagā
merī peshānī halke pasīne se nam ho rahī thī
aise meñ tum ne mirī maañg ko chuum kar
mujh se sargoshiyoñ meñ kahā
jaan afshāñ jabīñ par utar aa.ī hai
yā sitāroñ ne bosa diyā hai
batāo bhalā
ab kahāñ kī thakan
kaam kitne adhure paDe the
aur raushni kam se kam ho rahi thi
mujhe yun laga
meri peshani halke pasine se nam ho rahi thi
aise mein tum ne meri mang ko chum kar
mujh se sargoshiyon mein kaha
jaan afshan jabin par utar aai hai
ya sitaron ne bosa diya hai
batao bhala
ab kahan ki thakan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.