thakan
ghuTnoñ pe rakh kar haath uThī
thakī āvāz meñ bolī
bahut lambā safar hai
umr ke muñh zor dariyā kā
ukhaḌte pattharoñ
chiknī phisaltī sā.atoñ kā
ye safar
mushkil bahut hai
thakan
bojhal manoñ bojhal badan apnā
uThā kar chal paḌī
chaltī rahī
phir ek din
bhārī papoToñ ko uThā kar
us ne dekhā
rāste ke beach
ek bargad purānā
samādhī oḌh kar baiThā huā thā
thakan
kubḌe asā ko Tektī
bargad ke saa.e meñ chalī aa.ī
ma.an ThiTkī ThiThak kar ruk ga.ī
bolī
chalo ham bhī yahāñ ruk kar
samādhī oḌh lete haiñ
chalo ham bhī utarte haiñ
ḳhud apnī tah ke andar
aur ḳhud ko DhūñDte haiñ
abad tak
niiñd ke dariyā meñ ham bhī ūñghte haiñ
thakan
ghuTnoñ pe rakh kar haath
uThī
thakī āvāz meñ bolī
bahut lambā safar hai
ghuTnon pe rakh kar hath uThi
thaki aawaz mein boli
bahut lamba safar hai
umr ke munh zor dariya ka
ukhaDte pattharon
chikni phisalti saaton ka
ye safar
mushkil bahut hai
thakan
bojhal manon bojhal badan apna
uTha kar chal paDi
chalti rahi
phir ek din
bhaari papoTon ko uTha kar
us ne dekha
raste ke beach
ek bargad purana
samadhi oDh kar baiTha hua tha
thakan
kubDe asa ko Tekti
bargad ke sae mein chali aai
man ThiTki ThiThak kar ruk gai
boli
chalo hum bhi yahan ruk kar
samadhi oDh lete hain
chalo hum bhi utarte hain
KHud apni tah ke andar
aur KHud ko DhunDte hain
abad tak
nind ke dariya mein hum bhi unghte hain
thakan
ghuTnon pe rakh kar hath
uThi
thaki aawaz mein boli
bahut lamba safar hai
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 74)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 4, Jan To Mar.1998)
- Edition : Issue No. 4, Jan To Mar.1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.