thake-mande parinde
parinde uḌ rahe haiñ duur ufuq
bojhal fazāoñ meñ
thake-māñde paroñ meñ
āgahī kī shorisheñ le kar
panāheñ DhūñDte haiñ
qurmuzī kirnoñ ke dāman meñ
koī jā-e-panāh ho
kunj ho
kaliyoñ kā āñgan ho
koī sahrā ho naḳhlistān ho
be-āb dariyā ho
thake-māñde parinde uḌ rahe haiñ
shaam sar par hai
faqat ik raat kā Thahrāv
ik ehsās kī vaadī
mirī qismat meñ likh de
ai mire parvardigār ab to
parinde thak chuke haiñ
bojh laade zindagī bhar kā
koī taarā kahīñ chamke
kahīñ aañsū koī Dhalke
ki manzil kā nishāñ ubhre
thake-māñde parinde uḌ rahe haiñ duur vaadī meñ
isī ummīd par rokī nahīñ parvāz taa.ir ne
koī bhūlī huī manzil bhī apnī muntazir hogī
unhī anjān rastoñ meñ kahīñ vo rahguzar hogī
jahāñ lamhe ko do panchhī
sukūñ kā saañs le leñge
adam ke paar jaane se zarā pahle
zarā haule
koī dam bhar ko jī leñge
zarā sā muskurā.eñge
thake-māñde parinde uḌ rahe haiñ
niil vaadī meñ
yahīñ ik jhiil hai aur paas hī
bahtā hai jharnā bhī
yahīñ par ghaas hai shabnam se bojhal
motiyoñ jaisī
thake-māñde parinde ab zarā ārām chāhte haiñ
zarā dam bhar ko āñkheñ muuñd kar bisrām chāhte haiñ
parinde uD rahe hain dur ufuq
bojhal fazaon mein
thake-mande paron mein
aagahi ki shorishen le kar
panahen DhunDte hain
qurmuzi kirnon ke daman mein
koi ja-e-panah ho
kunj ho
kaliyon ka aangan ho
koi sahra ho naKHlistan ho
be-ab dariya ho
thake-mande parinde uD rahe hain
sham sar par hai
faqat ek raat ka Thahraw
ek ehsas ki wadi
meri qismat mein likh de
ai mere parwardigar ab to
parinde thak chuke hain
bojh lade zindagi bhar ka
koi tara kahin chamke
kahin aansu koi Dhalke
ki manzil ka nishan ubhre
thake-mande parinde uD rahe hain dur wadi mein
isi ummid par roki nahin parwaz tair ne
koi bhuli hui manzil bhi apni muntazir hogi
unhi anjaan raston mein kahin wo rahguzar hogi
jahan lamhe ko do panchhi
sukun ka sans le lenge
adam ke par jaane se zara pahle
zara haule
koi dam bhar ko ji lenge
zara sa muskuraenge
thake-mande parinde uD rahe hain
nil wadi mein
yahin ek jhil hai aur pas hi
bahta hai jharna bhi
yahin par ghas hai shabnam se bojhal
motiyon jaisi
thake-mande parinde ab zara aaram chahte hain
zara dam bhar ko aankhen mund kar bisram chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.