tham gai tal anfas ki
vo ek fankār thā
jis kī āvāz barsoñ talak
mohabbat ke naġhme sunātī rahī
amn ke giit gaatī rahī
jis kī āvāz se sur mukammal hue
jis kī āvāz ne lai ko baḳhshī jilā
us kī āvāz paiġhām-e-sub.h-e-masarrat bhī thī
us kī āvāz ik dard-e-shām-e-ġharībāñ bhī thī
vo ek fankār thā
vaqt ke saaz par gā rahā thā ġhazal
muskurāne lagī jis ko sun ke ajal
tham ga.ī taal anfās kī
dam-ba-ḳhud saare sur rah ga.e
jhilmilāne lagī sham.a-e-lutf-o-surūr
ahl-e-mahfil sabhī nauha-ḳhvāñ ho ga.e
aur vo mutrib-e-dil-barāñ
sab ko mahv-e-alam chhoḌ kar
so gayā dā.imī niiñd kī narm āġhosh meñ
wo ek fankar tha
jis ki aawaz barson talak
mohabbat ke naghme sunati rahi
amn ke git gati rahi
jis ki aawaz se sur mukammal hue
jis ki aawaz ne lai ko baKHshi jila
us ki aawaz paigham-e-subh-e-masarrat bhi thi
us ki aawaz ek dard-e-sham-e-ghariban bhi thi
wo ek fankar tha
waqt ke saz par ga raha tha ghazal
muskurane lagi jis ko sun ke ajal
tham gai tal anfas ki
dam-ba-KHud sare sur rah gae
jhilmilane lagi shama-e-lutf-o-surur
ahl-e-mahfil sabhi nauha-KHwan ho gae
aur wo mutrib-e-dil-baran
sab ko mahw-e-alam chhoD kar
so gaya daimi nind ki narm aaghosh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.