tiflan ki to kuchh taqsir na thi
ai dost purāne pahchāne
ham kitnī muddat ba.ad mile
aur kitnī sadiyoñ ba.ad milī
ye ek nigāh-e-mehr-o-saḳhā
jo apnī saḳhā se ḳhud pur-nam
baiTho to zarā
batlāo to kyā
ye sach hai mere ta.āqub meñ
phirtā hai hujūm-e-sañg-zanāñ?
kyā niil bahut haiñ chehre par?
kyā kāsa-e-sar hai ḳhuun se tar?
paivand-e-qabā dushnām bahut
paivast-e-jigar ilzām bahut
ye nazr-e-karam kyuuñ hai pur-nam?
jab nikle kū-e-malāmat meñ
ik ġhauġhā to ham ne bhī sunā
tiflāñ kī to kuchh taqsīr na thī
ham aap hī the yuuñ ḳhud-rafta
mad.hoshī ne mohlat hī na dī
ham muḌ ke nazāra kar lete
bachne kī to sūrat ḳhair na thī
darmāñ kā hī chāra kar lete
pal bhar bhī hamāre kār-e-junūñ
ġhaflat jo gavāra kar lete
ai dost purane pahchane
hum kitni muddat baad mile
aur kitni sadiyon baad mili
ye ek nigah-e-mehr-o-saKHa
jo apni saKHa se KHud pur-nam
baiTho to zara
batlao to kya
ye sach hai mere taaqub mein
phirta hai hujum-e-sang-zanan?
kya nil bahut hain chehre par?
kya kasa-e-sar hai KHun se tar?
paiwand-e-qaba dushnam bahut
paiwast-e-jigar ilzam bahut
ye nazr-e-karam kyun hai pur-nam?
jab nikle ku-e-malamat mein
ek ghaugha to hum ne bhi suna
tiflan ki to kuchh taqsir na thi
hum aap hi the yun KHud-rafta
madhoshi ne mohlat hi na di
hum muD ke nazara kar lete
bachne ki to surat KHair na thi
darman ka hi chaara kar lete
pal bhar bhi hamare kar-e-junun
ghaflat jo gawara kar lete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.