tiflana tamanna
ye tamannā hai mirī
aap ke pyaar ko lafzoñ meñ muqayyad kar luuñ
lab-e-iz.hār muqaddar meñ kahāñ
lafz-o-mā’nī meñ kahāñ gunjā.ish
koī bhī lā.ūñ bayāñ kī san’at
merā mafhūm bikhar jaatā hai
ho koī jhiil agar
pyāsī nazroñ se use pī jā.ūñ
ye to ik aisā samandar hai tasavvur jis ke
kisī mauhūm kināre kā bhī nā-mumkin hai
merī taḳh.īl ke paimāne bhī bekār ga.e
haa.e tiflāna tamannā merī
chāñd ke vāste bachcha koī humke jaise
ye tamanna hai meri
aap ke pyar ko lafzon mein muqayyad kar lun
lab-e-izhaar muqaddar mein kahan
lafz-o-ma’ni mein kahan gunjaish
koi bhi laun bayan ki san’at
mera mafhum bikhar jata hai
ho koi jhil agar
pyasi nazron se use pi jaun
ye to ek aisa samandar hai tasawwur jis ke
kisi mauhum kinare ka bhi na-mumkin hai
meri taKHil ke paimane bhi bekar gae
hae tiflana tamanna meri
chand ke waste bachcha koi humke jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.