Tin ka Dibba
samundar ke bosoñ se haarī huī ret
ret par TūTī-phūTī purānī siyah rañg chīzoñ ke ambār meñ
ek pichkā huā Tiin kā zard Dibbā
syāhī ke barham samundar ne jis ko uchhālā
syāhī ke be-nām sāhil ne jis ko sambhālā
añdhere meñ bikhre hue murda lamhoñ ke ik Dher meñ
pā-shikasta sī ik sā.at-e-nīm-jāñ
kaale qarnoñ ke safar-e-musalsal kī ik dāstāñ
kaale qarnoñ kī vo dāstāñ
tīrgī kī chaTānoñ se Takrā.ī
Takrā ke raushan huī
ghup añdhere meñ ubhrīñ lakīreñ
lakīroñ se bantī ga.iiñ sūrateñ
peḌ bādal makāñ ek raushan nadī
aur raushan nadī ke kināre chamaktī huī ghaas par
dūdhiyā uun kī dhajjiyāñ
raushnī kā ubhartā huā ik jahāñ
tīrgī ab kahāñ hai
taḌaptī huī ret par har taraf
shoḳh kirnoñ kā ek jaal sā tan gayā hai
chamaktā huā Tiin kā zard Dibbā
shuāoñ kā laavā ugalne lagā hai
ubalte hue raushnī ke samundar meñ Dhal kar
zamīñ se falak tak uchhalne lagā hai
samundar ke boson se haari hui ret
ret par TuTi-phuTi purani siyah rang chizon ke ambar mein
ek pichka hua Tin ka zard Dibba
syahi ke barham samundar ne jis ko uchhaala
syahi ke be-nam sahil ne jis ko sambhaala
andhere mein bikhre hue murda lamhon ke ek Dher mein
pa-shikasta si ek saat-e-nim-jaan
kale qarnon ke safar-e-musalsal ki ek dastan
kale qarnon ki wo dastan
tirgi ki chaTanon se Takrai
Takra ke raushan hui
ghup andhere mein ubhrin lakiren
lakiron se banti gain suraten
peD baadal makan ek raushan nadi
aur raushan nadi ke kinare chamakti hui ghas par
dudhiya un ki dhajjiyan
raushni ka ubharta hua ek jahan
tirgi ab kahan hai
taDapti hui ret par har taraf
shoKH kirnon ka ek jal sa tan gaya hai
chamakta hua Tin ka zard Dibba
shuaon ka lawa ugalne laga hai
ubalte hue raushni ke samundar mein Dhal kar
zamin se falak tak uchhalne laga hai
- Book : Wazeer Aagha Ki Nazmen (Pg. 65)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.