Tipu
uThā vo ḳhāk-e-srinigāpatam se mard-e-jarī
bidesiyoñ kī hukūmat thī larza-bar-andām
vo avvalīn mujāhid ki jis ne farmāyā
rahegā hind na hargiz firañgiyoñ kā ġhulām
paḌhā.ī ahl-e-vatan ko namāz-e-āzādī
sikhā.e jis ne hameñ us ke sab sujūd-o-qayām
banā.e tarz-navī jis ne kī thī mustahkam
badal ke rakh diyā jis ne qadāmatoñ kā nizām
falāh-e-qaum kā jis ne kiyā buland alam
rahī thī jis ko muqaddam hamesha ḳhair-e-anām
vo jāñ-farosh dulārā dakkan ke haidar kā
jo apnī zaat se ḳhud thā mujāhidoñ kā imaam
kahā ye jis ne ki ahl-e-vatan kā hai ye vatan
na ġhāsiboñ kā na aġhyār kā hai koī maqām
gavāh azmat-e-Tīpū hai rūd-e-kaveri
yahīñ huā thā nabard-āzmā vo ḳhush-farjām
shahīd kā use detī hai martaba tārīḳh
ba-kesh-e-sidq-o-safā hai yahī baḌā in.aam
azal se baat chalī aa.ī hai zamāne meñ
jo nek bande haiñ hotā hai un kā nek anjām
manār-e-masjid-e-jāme se de rahā huuñ sadā
dakan kī ḳhaak ke zarro tumheñ hazār salām
uTha wo KHak-e-srinigapatam se mard-e-jari
bidesiyon ki hukumat thi larza-bar-andam
wo awwalin mujahid ki jis ne farmaya
rahega hind na hargiz firangiyon ka ghulam
paDhai ahl-e-watan ko namaz-e-azadi
sikhae jis ne hamein us ke sab sujud-o-qayam
banae tarz-nawi jis ne ki thi mustahkam
badal ke rakh diya jis ne qadamaton ka nizam
falah-e-qaum ka jis ne kiya buland alam
rahi thi jis ko muqaddam hamesha KHair-e-anam
wo jaan-farosh dulara dakkan ke haidar ka
jo apni zat se KHud tha mujahidon ka imam
kaha ye jis ne ki ahl-e-watan ka hai ye watan
na ghasibon ka na aghyar ka hai koi maqam
gawah azmat-e-Tipu hai rud-e-kaweri
yahin hua tha nabard-azma wo KHush-farjam
shahid ka use deti hai martaba tariKH
ba-kesh-e-sidq-o-safa hai yahi baDa inam
azal se baat chali aai hai zamane mein
jo nek bande hain hota hai un ka nek anjam
manar-e-masjid-e-jame se de raha hun sada
dakan ki KHak ke zarro tumhein hazar salam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.