tirgi
ye raat din kī udāsī ye be-hisī ye thakan
hayāt hai ki tah-e-barf nā-damīda chaman
vo sabza merī nazar se mire jahān se duur
magar kahīñ vo chaman vo hayāt hai to sahī
ye dil meñ ek kasak sī mirī zabān se duur
zabāñ se duur sahī koī baat hai to sahī
chaman ko barf kī tah meñ numū kī ḳhvāhish hai
hayāt ko tapish-e-ārzū kī ḳhvāhish hai
ye raat din ki udasi ye be-hisi ye thakan
hayat hai ki tah-e-barf na-damida chaman
wo sabza meri nazar se mere jahan se dur
magar kahin wo chaman wo hayat hai to sahi
ye dil mein ek kasak si meri zaban se dur
zaban se dur sahi koi baat hai to sahi
chaman ko barf ki tah mein numu ki KHwahish hai
hayat ko tapish-e-arzu ki KHwahish hai
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 244)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.