tisri aankh
bastī vaalo jaago
āñkheñ kholo
dekho samundar kī halchal ko
tum lahroñ kī chaal ko samjho
ek baḌā tūfān hai jaldī aane vaalā
jis meñ sab kuchh bah jā.egā
kashtī jis ke paas rahegī
bas vo baaqī rah jā.egā
uTTho sab sāmān juTāo
ek baḌī sī naav banāo
merī sachchī baat ko maano
mujh ko mat dīvāna jaano
burā-bhalā kahne meñ mujh ko
ab mat apnā vaqt gañvāo
ab mat merī hañsī uḌaao
tum se pahle jin logoñ ne
hañsī uḌaa.ī thī kashtī kī
un sab ke anjām ko dekho
uTTho jaldī naav banāo
basti walo jago
aankhen kholo
dekho samundar ki halchal ko
tum lahron ki chaal ko samjho
ek baDa tufan hai jaldi aane wala
jis mein sab kuchh bah jaega
kashti jis ke pas rahegi
bas wo baqi rah jaega
uTTho sab saman juTao
ek baDi si naw banao
meri sachchi baat ko mano
mujh ko mat diwana jaano
bura-bhala kahne mein mujh ko
ab mat apna waqt ganwao
ab mat meri hansi uDao
tum se pahle jin logon ne
hansi uDai thi kashti ki
un sab ke anjam ko dekho
uTTho jaldi naw banao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.