tisri aankh
to phir yuuñ huā
ham shikasta-diloñ ne sipar Daal dī
jitne nāvak-ba-dast apne ahbāb
koh-e-vafā par khaḌe the
hameñ un sabhī kī jigar-dāriyoñ
be-ġharaz jur.atoñ par mukammal yaqīñ thā
magar jāñ-nisārī ke is ma.arke meñ
saf-e-ham-rahāñ ko palaT kar jo dekhā
to koī nahīñ thā
sabhī narġha-e-dushmanāñ meñ khaḌe the
hujūm-e-kashīda-sarāñ
pā-ba-zanjīr zer-e-nagīñ thā
so phir yuuñ huā
maqtaloñ kī taraf jab ravāna hue ham
to saarī jabīnoñ pe nañgī ḳhajālat
barahna nadāmat ke qatre juḌe the
ham andhe sarāboñ ke lā-muntahā silsiloñ meñ khaḌe the
hazar sā.atoñ
thartharāte laboñ par
faqat ḳhāmushī thī
sitam tāziyānoñ ke qātil pharere
fasīl-e-zabān-o-dahan par gaḌe the
vo mausam kaḌe the
to phir yuuñ huā
ham darīda-badan
dashna-e-qātilāñ kā hadaf ban ga.e
qatra qatra hamārā chamaktā ga.e
shahr-e-mehrbāñ ke dar-o-bām par
jagmagāne lage
tīsrī aañkh kā nāma-bar ham ko muzhda sunāne lagā
to phir yun hua
hum shikasta-dilon ne sipar Dal di
jitne nawak-ba-dast apne ahbab
koh-e-wafa par khaDe the
hamein un sabhi ki jigar-dariyon
be-gharaz juraton par mukammal yaqin tha
magar jaan-nisari ke is marke mein
saf-e-ham-rahan ko palaT kar jo dekha
to koi nahin tha
sabhi nargha-e-dushmanan mein khaDe the
hujum-e-kashida-saran
pa-ba-zanjir zer-e-nagin tha
so phir yun hua
maqtalon ki taraf jab rawana hue hum
to sari jabinon pe nangi KHajalat
barahna nadamat ke qatre juDe the
hum andhe sarabon ke la-muntaha silsilon mein khaDe the
hazar saaton
thartharaate labon par
faqat KHamushi thi
sitam taziyanon ke qatil pharere
fasil-e-zaban-o-dahan par gaDe the
wo mausam kaDe the
to phir yun hua
hum darida-badan
dashna-e-qatilan ka hadaf ban gae
qatra qatra hamara chamakta gae
shahr-e-mehrban ke dar-o-baam par
jagmagane lage
tisri aankh ka nama-bar hum ko muzhda sunane laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.