tisri aankh
maiñ donoñ āñkheñ mīche
girtā paḌtā dauḌ rahā huuñ!
aage kyā hai
mujh ko kuchh ma.alūm nahīñ
lekin merī tīsrī aañkh
pīchhe bhāgte raat aur din
saal aur sadiyāñ dekh rahī hai!
pīchhe duur bahut pīchhe
jhilmil kartī
bujhtī ḳhushiyāñ dekh rahī hai!
maiñ donoñ āñkheñ mīche
tīsrī aañkh se rotā hūñ!!
main donon aankhen miche
girta paDta dauD raha hun!
aage kya hai
mujh ko kuchh malum nahin
lekin meri tisri aankh
pichhe bhagte raat aur din
sal aur sadiyan dekh rahi hai!
pichhe dur bahut pichhe
jhilmil karti
bujhti KHushiyan dekh rahi hai!
main donon aankhen miche
tisri aankh se rota hun!!
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 162)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.