tijarat
is meñ kyā shak hai tijārat bādshāhī kaaj hai
ġhaur kar ke dekh lo tājir ke sar par taaj hai
hind kī tārīḳh paḌh kar hī sabaq hāsil karo
jo tijārat karne aa.e the ab un kā raaj hai
zinda rah saktā nahīñ hargiz tijārat ke baġhair
ham ne ye maanā ki europe markaz-e-afvāj hai
har dukān apnī jagah hai ek chhoTī saltanat
nafā kahte haiñ jise dar-asl us kā baaj hai
juz tijārat qaum kī mulkī siyāsat kuchh nahīñ
lutf-e-āzādī isī meñ hai yahī svārāj hai
zindagī kī rif.atoñ se hai tijārat hī murād
haañ yahī bām-e-taraqqī hai yahī me.arāj hai
mard-e-tājir ko ḳhudā kī zaat par hai e'timād
mard-e-chākar har ghaḌī aġhyār kā muhtāj hai
jab se ham ġhairoñ ke aage jhuk ga.e misl-e-kamāñ
tab se apnā dil sitam ke tiir kā āmāj hai
chal rahī haiñ zor se be-kāriyoñ kī āñdhiyāñ
naujavāñ kā gulsitān-e-zindagī tārāj hai
ye zarūrī kaam kal par Tālnā achchhā nahīñ
bil-yaqīñ ham ko tijārat kī zarūrat aaj hai
vaa.e hasrat kyoñ tumhārī aql par patthar paḌe
jis ko tum kankar samajhte ho vahī pukhrāj hai
phir ḳharīdo byaah kā sāmān pahle jaan lo
bas tijārat hī urūs-e-qaumiyat kā raaj hai
vo hamesha qadr karte haiñ savdeshī maal kī
qaum kā ehsās hai jin ko vatan kī laaj hai
ḳhuub motī rolte haiñ tājirān-e-bā-safā
'faiz' bāzār-e-tijārat qulzum-e-mavvāj hai
is mein kya shak hai tijarat baadshahi kaj hai
ghaur kar ke dekh lo tajir ke sar par taj hai
hind ki tariKH paDh kar hi sabaq hasil karo
jo tijarat karne aae the ab un ka raj hai
zinda rah sakta nahin hargiz tijarat ke baghair
hum ne ye mana ki europe markaz-e-afwaj hai
har dukan apni jagah hai ek chhoTi saltanat
nafa kahte hain jise dar-asl us ka baj hai
juz tijarat qaum ki mulki siyasat kuchh nahin
lutf-e-azadi isi mein hai yahi swaraj hai
zindagi ki rifaton se hai tijarat hi murad
han yahi baam-e-taraqqi hai yahi mearaj hai
mard-e-tajir ko KHuda ki zat par hai e'timad
mard-e-chaakar har ghaDi aghyar ka muhtaj hai
jab se hum ghairon ke aage jhuk gae misl-e-kaman
tab se apna dil sitam ke tir ka aamaj hai
chal rahi hain zor se be-kariyon ki aandhiyan
naujawan ka gulsitan-e-zindagi taraj hai
ye zaruri kaam kal par Talna achchha nahin
bil-yaqin hum ko tijarat ki zarurat aaj hai
wae hasrat kyon tumhaari aql par patthar paDe
jis ko tum kankar samajhte ho wahi pukhraj hai
phir KHarido byah ka saman pahle jaan lo
bas tijarat hi urus-e-qaumiyat ka raj hai
wo hamesha qadr karte hain sawdeshi mal ki
qaum ka ehsas hai jin ko watan ki laj hai
KHub moti rolte hain tajiran-e-ba-safa
'faiz' bazar-e-tijarat qulzum-e-mawwaj hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.