tilism-e-KHayal
hasīn ḳhvāboñ kī aarzū thī
ki chāñd tāroñ kī anjuman meñ
bahār-e-rangīñ kī justujū meñ
fazā-e-dilkash kī ḳhāmushī meñ
charāġh-e-millat kī lau baḌhā.e
naqīb-e-sub.h-e-jamīl ban kar
mile the ham ahl-e-kārvāñ se
jo sū-e-manzil ravāñ-davāñ the
ajab irāde hazār va.ade
unhīñ irādoñ kī raushnī meñ
yaqīn-e-mohkam ke ban ke paikar
lahū ke dariyā se paar ho kar
masarratoñ kī barāt le kar
na.ī umangoñ ko saath le kar
ummīd-e-fardā se lau lagā.e
chale the laane nayā saverā
magar jo ḳhurshīd-e-sub.h niklā
tilism-e-ḳhvāb-o-ḳhayāl TuuTe
na chāñd tāroñ kī anjuman thī
na rang-o-nik.hat kī justujū thī
hasin KHwabon ki aarzu thi
ki chand taron ki anjuman mein
bahaar-e-rangin ki justuju mein
faza-e-dilkash ki KHamushi mein
charagh-e-millat ki lau baDhae
naqib-e-subh-e-jamil ban kar
mile the hum ahl-e-karwan se
jo su-e-manzil rawan-dawan the
ajab irade hazar wade
unhin iradon ki raushni mein
yaqin-e-mohkam ke ban ke paikar
lahu ke dariya se par ho kar
masarraton ki baraat le kar
nai umangon ko sath le kar
ummid-e-farda se lau lagae
chale the lane naya sawera
magar jo KHurshid-e-subh nikla
tilism-e-KHwab-o-KHayal TuTe
na chand taron ki anjuman thi
na rang-o-nikhat ki justuju thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.