tilism-e-safar
ek dahshat-zada
niim tārīk jañgal meñ
aql-o-ḳhirad kī zarūrat nahīñ
shā.irī aur fiction kī
parchhā.iyoñ kā maiñ pīchhā karūñ
aur sapne bunūñ
aisī aadat nahīñ
niim tārīk jañgal ke
lambe safar pe jo nikle ho tum
to sun lo
niim tārīk jañgal meñ chāroñ taraf
abul-haul se vāsta bhī paḌegā tumhārā
ka.ī shakl meñ
varġhalā.engī tum ko chuḌeleñ
azdahoñ ke ilāqoñ se
guzroge tum
jism niilā bhī hogā tumhārā
magar aañkh kī putliyoñ meñ
zindagī kā saverā munavvar rahegā
ye alag baat tum
raqs-e-iblīs ke dā.ere meñ rahoge
niim tārīk jañgal ke
saare bhayānak darindoñ se tanhā
nihatte laḌoge
tum na hargiz Daroge
istifāda karoge mire tajraboñ se
to pāoge manzil
samundar kī maujeñ
ulajhtī haiñ barsoñ bhañvar se
to paatī haiñ manzil
niim tārīk jañgal
raqs-e-iblīs
kaalī chuḌeleñ
ḳhauf-zā jis qadar ho
tilism-e-safar
us ko manzil kī me.arāj samjho
ek dahshat-zada
nim tarik jangal mein
aql-o-KHirad ki zarurat nahin
shairi aur fiction ki
parchhaiyon ka main pichha karun
aur sapne bunun
aisi aadat nahin
nim tarik jangal ke
lambe safar pe jo nikle ho tum
to sun lo
nim tarik jangal mein chaaron taraf
abul-haul se wasta bhi paDega tumhaara
kai shakl mein
warghalaengi tum ko chuDelen
azdahon ke ilaqon se
guzroge tum
jism nila bhi hoga tumhaara
magar aankh ki putliyon mein
zindagi ka sawera munawwar rahega
ye alag baat tum
raqs-e-iblis ke daere mein rahoge
nim tarik jangal ke
sare bhayanak darindon se tanha
nihatte laDoge
tum na hargiz Daroge
istifada karoge mere tajrabon se
to paoge manzil
samundar ki maujen
ulajhti hain barson bhanwar se
to pati hain manzil
nim tarik jangal
raqs-e-iblis
kali chuDelen
KHauf-za jis qadar ho
tilism-e-safar
us ko manzil ki mearaj samjho
- Book : Aatish Fishan (Pg. 63)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.