tinka
ye chhoTī sī nadī to mahz
nadī kī halkī sī jhalak hai
nadī kā puurā paaT dekhnā ho
to mere dil meñ utar kar dekho
jahāñ se us ke sote phūTte haiñ
lekin mere dil se
ek nahīñ
ka.ī nadiyoñ ke sote phūTte haiñ
kabhī kabhī ye sote ḳhushk bhī ho jaate haiñ
aur dil meñ dhuul sī uḌne lagtī hai
dil ek ret ke Tiile kī tarah dikhā.ī dene lagtā hai
lekin ye ret to bas is kī uuprī satah hai
is kī retīlī satah ke nīche
ek dariyā hai
jo aam taur par to ḳhāmosh rahtā hai
lekin kabhī kabhī
tarañg meñ aa jaa.e
to gaane bhī lagtā hai
kabhī kabhī us kā koī bol
be-qābū ho kar
ek naddī kā ta.assur detā hai
aur ek tinkā
der tak
us kī tarah par halkore letā rahtā hai
ye chhoTi si nadi to mahz
nadi ki halki si jhalak hai
nadi ka pura paT dekhna ho
to mere dil mein utar kar dekho
jahan se us ke sote phuTte hain
lekin mere dil se
ek nahin
kai nadiyon ke sote phuTte hain
kabhi kabhi ye sote KHushk bhi ho jate hain
aur dil mein dhul si uDne lagti hai
dil ek ret ke Tile ki tarah dikhai dene lagta hai
lekin ye ret to bas is ki upri satah hai
is ki retili satah ke niche
ek dariya hai
jo aam taur par to KHamosh rahta hai
lekin kabhi kabhi
tarang mein aa jae
to gane bhi lagta hai
kabhi kabhi us ka koi bol
be-qabu ho kar
ek naddi ka tassur deta hai
aur ek tinka
der tak
us ki tarah par halkore leta rahta hai
- Book : aaj (Pg. 350)
- Author : ajmal
- Publication : 316madiina maal ,abdullah haroon road sadar karachi-74400 (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.