tinke ka sahaara
sar-e-rahguzar ḳhvāb sā ik makāñ
kuchh dinoñ se mirā rāsta roktā hai
kisī ne yahāñ
aise lahje kī jhankār lā kar sajā dī hai jis tarah tum boltī ho
shikasta kivāḌoñ se chhante hue
qāmat-o-zulf-o-ruḳhsār sab kuchh tumhārī tarah hai
magar sochtā huuñ kisī din havā.eñ
ye parda uThā deñ to mujh se
ḳhud-āzāriyoñ ke azāboñ kī lazzat bhī chhin jā.egī
sar-e-rahguzar KHwab sa ek makan
kuchh dinon se mera rasta rokta hai
kisi ne yahan
aise lahje ki jhankar la kar saja di hai jis tarah tum bolti ho
shikasta kiwaDon se chhante hue
qamat-o-zulf-o-ruKHsar sab kuchh tumhaari tarah hai
magar sochta hun kisi din hawaen
ye parda uTha den to mujh se
KHud-azariyon ke azabon ki lazzat bhi chhin jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.