tiranga
lahrā rahā hai dekho ākāsh par tirañgā
amn-o-amāñ kā paikar jhanDā vo rañg-birañga
har ek fan kī azmat tahzīb-e-be-misālī
hai is se āshkāra koī nahīñ savālī
amn-o-amāñ kī rañgat vīroñ ke ḳhuuñ kī laalī
is meñ jhalak rahī hai mazdūr kī bahālī
lahrā rahā hai dekho ākāsh par tirañgā
amn-o-amāñ kā paikar jhanDā vo rañg-birañga
schōl jagmagāyā har khet lahlahāyā
kaliyāñ bhī muskurā.eñ phūloñ ne giit gaayā
gañgā ne raag chheḌā jamunā ne gungunāyā
ūñchā jo hai himāla vo bhī to sar jhukāyā
lahrā rahā hai dekho ākāsh par tirañgā
amn-o-amāñ kā paikar jhanDā vo rañg-birañga
jannat-nishān dhartī sonā ugal rahī hai
jañgal hare bhare haiñ fitrat machal rahī hai
ye dukh kī maarī jantā gir kar sambhal rahī hai
ilm-o-amal kī naav tezī se chal rahī hai
lahrā rahā hai dekho ākāsh par tirañgā
amn-o-amāñ kā paikar jhanDā vo rañg-birañga
lahra raha hai dekho aakash par tiranga
amn-o-aman ka paikar jhanDa wo rang-biranga
har ek fan ki azmat tahzib-e-be-misali
hai is se aashkara koi nahin sawali
amn-o-aman ki rangat wiron ke KHun ki lali
is mein jhalak rahi hai mazdur ki bahaali
lahra raha hai dekho aakash par tiranga
amn-o-aman ka paikar jhanDa wo rang-biranga
school jagmagaya har khet lahlahaya
kaliyan bhi muskuraen phulon ne git gaya
ganga ne rag chheDa jamuna ne gungunaya
uncha jo hai himala wo bhi to sar jhukaya
lahra raha hai dekho aakash par tiranga
amn-o-aman ka paikar jhanDa wo rang-biranga
jannat-nishan dharti sona ugal rahi hai
jangal hare bhare hain fitrat machal rahi hai
ye dukh ki mari janta gir kar sambhal rahi hai
ilm-o-amal ki naw tezi se chal rahi hai
lahra raha hai dekho aakash par tiranga
amn-o-aman ka paikar jhanDa wo rang-biranga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.