tiranga
lahrā.e jā tirañgā
āzādī ke āshiq vīroñ ke sar par lahrā.e jā
lahrā lahrā kar āzādī ke paiġhām banā.e jā
kohistānī barf kī sūrat tujh meñ tez safedī
gaañv meñ ugne vaalī kapāsoñ ke mānind rupahlī
pakke aam ke phal kī sūrat rangat kesriyālī
jāñ-bāzoñ ke paak lahū kī yaad dilāne vaalī
jangal kī āñkhoñ kī sūrat sabz hai terī dhārī
jaise dhaan kī pahlī koñpal sundar komal pyārī
aur ashokā chakr meñ amn-o-rāhat kā ujyālā
lahrā lahrāne se tere bol hamārā baalā
lahrā.e jā tirañge
lahrae ja tiranga
aazadi ke aashiq wiron ke sar par lahrae ja
lahra lahra kar aazadi ke paigham banae ja
kohistani barf ki surat tujh mein tez safedi
ganw mein ugne wali kapason ke manind rupahli
pakke aam ke phal ki surat rangat kesriyali
jaan-bazon ke pak lahu ki yaad dilane wali
jangal ki aankhon ki surat sabz hai teri dhaari
jaise dhan ki pahli konpal sundar komal pyari
aur ashoka chakr mein amn-o-rahat ka ujyala
lahra lahrane se tere bol hamara baala
lahrae ja tirange
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.