tere adl ke aiwanon mein
Dhal ga.ī raat
tirī yaad ke sannāToñ meñ
bujh ga.ī chāñd ke hamrāh vo duniyā jis kā
aks āñkhoñ meñ liye
maiñ ne thakan bāñdhī thī
niim ghāyal haiñ vo shaffāf irāde jin par
kitnī ma.asūm tamannāoñ ne labbaik kahī
jaane kis shahr ko ābād kiyā hai tū ne
dhaḌkaneñ bhīgtī palkoñ se bañdhī jaatī haiñ
zindagī asr-e-hama-gīr meñ be-ma.anī hai
jaane kis pahr
tire adl ke aivānoñ meñ
niim hamvār zamīñ vāloñ kī fariyād sunī jā.egī
aks jo ek samay qurb meñ the
duur nazar aate haiñ
garm sāñsoñ kī mashaqqat se badan
chuur nazar aate haiñ
Dhal gai raat
teri yaad ke sannaTon mein
bujh gai chand ke hamrah wo duniya jis ka
aks aankhon mein liye
main ne thakan bandhi thi
nim ghayal hain wo shaffaf irade jin par
kitni masum tamannaon ne labbaik kahi
jaane kis shahr ko aabaad kiya hai tu ne
dhaDkanen bhigti palkon se bandhi jati hain
zindagi asr-e-hama-gir mein be-mani hai
jaane kis pahr
tere adl ke aiwanon mein
nim hamwar zamin walon ki fariyaad suni jaegi
aks jo ek samay qurb mein the
dur nazar aate hain
garm sanson ki mashaqqat se badan
chur nazar aate hain
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 163)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (7,8, October 98 To March 1999)
- Edition : 7,8, October 98 To March 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.