teri hansi
falak kā ek taqāzā thā ibn-e-ādam se
sulag sulag ke rahe aur palak jhapak na sake
taras rahā ho fazā kā muhīb sannāTā
siDaul paañv kī paa.el magar chhanak na sake
kalī ke izn-e-tabassum ke saath shart ye hai
ki der tak kisī āġhosh meñ mahak na sake
maiñ sochtā huuñ ki ye terī be-hijāb hañsī!
mizāj-e-zīst se is darja muḳhtalif kyuuñ hai
ye ek sham.a jise sub.h kā yaqīn nahīñ
jigar ke zaḳhm-e-farozāñ se munharif kyuuñ hai
bharā huā hai nigāhoñ meñ zindagī ke dhuāñ
bas ek sho.ala-e-shab-tāb meñ sharar kyuuñ hai
mire vajūd meñ jis se ka.ī ḳharāsheñ haiñ
vo ik shikan tire māthe pe muḳhtasar kyuuñ hai
jamī huī hai sitāroñ pe āñsuoñ kī namī
tire charāġh kī lau itnī tez-tar kyuuñ hai
na.e shivāle meñ jā kar kisī ke teshe ne
bahut se but to girā.e bahut se but na gire
bas ek ḳhanda-e-be-bāk hī se kyā hogā
lahū kī zahmat-e-iqdām bhī zarūrī hai
zarā sī jur.at-e-idrāk hī se kyā hogā
gurez o raj.at o taḳhrīb hī sahī lekin
koī taḌap, koī hasrat, koī murād to hai
tirī hañsī se to merī shikast hai behtar
mirī shikast meñ thoḌā sā e'timād to hai
falak ka ek taqaza tha ibn-e-adam se
sulag sulag ke rahe aur palak jhapak na sake
taras raha ho faza ka muhib sannaTa
siDaul panw ki pael magar chhanak na sake
kali ke izn-e-tabassum ke sath shart ye hai
ki der tak kisi aaghosh mein mahak na sake
main sochta hun ki ye teri be-hijab hansi!
mizaj-e-zist se is darja muKHtalif kyun hai
ye ek shama jise subh ka yaqin nahin
jigar ke zaKHm-e-farozan se munharif kyun hai
bhara hua hai nigahon mein zindagi ke dhuan
bas ek shoala-e-shab-tab mein sharar kyun hai
mere wajud mein jis se kai KHarashen hain
wo ek shikan tere mathe pe muKHtasar kyun hai
jami hui hai sitaron pe aansuon ki nami
tere charagh ki lau itni tez-tar kyun hai
nae shiwale mein ja kar kisi ke teshe ne
bahut se but to girae bahut se but na gire
bas ek KHanda-e-be-bak hi se kya hoga
lahu ki zahmat-e-iqdam bhi zaruri hai
zara si jurat-e-idrak hi se kya hoga
gurez o rajat o taKHrib hi sahi lekin
koi taDap, koi hasrat, koi murad to hai
teri hansi se to meri shikast hai behtar
meri shikast mein thoDa sa e'timad to hai
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Qaba-e-Saaz) (Pg. 70)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.