Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri taswir le kar kya karungi

Rafia Shabnam Abidi

teri taswir le kar kya karungi

Rafia Shabnam Abidi

MORE BYRafia Shabnam Abidi

    mirā dil jaise koī ā.īna hai

    tirā aks is meñ bas gayā hai

    har dhaḌkan meñ merī boltā hai

    ye sach hai merā nāḳhudā hai

    tujhe malbūs apnā māntī huuñ

    tujhe dekh kar jiitī huuñ lekin

    tirī tasvīr le kar kyā karūñgī

    maiñ kab terī bhalā puujā karūñgī

    tire aage kahāñ sajda karūñgī

    mirā ma.abūd to merā ḳhudā hai

    mera dil jaise koi aaina hai

    tera hi aks is mein bas gaya hai

    tu har dhaDkan mein meri bolta hai

    ye sach hai tu hi mera naKHuda hai

    tujhe malbus apna manti hun

    tujhe hi dekh kar jiti hun lekin

    teri taswir le kar kya karungi

    main kab teri bhala puja karungi

    tere aage kahan sajda karungi

    mera mabud to mera KHuda hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now