tishnagi
ye chhalaktā huā jaam
maiñ ise pī na sakūñgā saaqī
āzmā.ī huī shai
zā.iqa talḳh
asar phīkā hai
chand lamhoñ kā surūr
jaise ik māh-jabīñ doshīza
muskurātī huī tezī se guzar jaatī hai
chand lamhoñ kā surūr
tishnagī sāġhar mai se bhī kahīñ jaatī hai
toḌ de jām-o-subū
tishnagī naam hai jiine kā
mujhe jiine de
tishnagī roz-e-azal se hai rafīq-e-dil-o-jāñ
tishnagī vaj.h-e-talab
zauq-e-talab husn-e-talab
tishnagī par hai zamāne kā madār
rāteñ jo āñkhoñ hī āñkhoñ meñ basar hotī haiñ
rāteñ jo pichhle pahar ashkoñ se muñh dhotī haiñ
sub.h hotī hai to pī jaatā hai sūraj un ko
raat Dhal jaatī hai shabnam ke hasīñ qatroñ meñ
sub.h-dam phūloñ ke lākhoñ sāġhar
muntazir hote haiñ sūraj ke liye
ye subūhī
ki jise pī ke damak uThtā hai
rū-e-ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb
shuā.eñ jis kī
nāgineñ ban ke har ik buuñd ko pī jaatī haiñ
buuñd aañsū kī ho
yā shabnam kī
kurra-e-arz pe baaqī nahīñ rahne paatī
ḳhushk ho jaate haiñ sab
gul-e-tar
dīda-e-tar
koī ḳhurshīd kī saffāk tapish pī jaa.e
raat ke chāñd kā aalam dekho
chāñd ik ghūñT meñ pī jaatā hai sūraj kī tapish
shabnam-o-ashk duā karte haiñ
ki zamāne meñ sahar ho na kabhī
aur ye silsila-e-tishna-labī
ai ḳhudā dahr meñ jaarī hai na jaane kab se
kaise mānūñ
lab-e-lālīñ ke hazāroñ bose
ruuh kī pyaas bujhā sakte haiñ
ishq sairāb nahīñ ho saktā
ye chhalaktā huā jaam
maiñ ise pī na sakūñgā saaqī
ye chhalakta hua jam
main ise pi na sakunga saqi
aazmai hui shai
zaiqa talKH
asar phika hai
chand lamhon ka surur
jaise ek mah-jabin doshiza
muskuraati hui tezi se guzar jati hai
chand lamhon ka surur
tishnagi saghar mai se bhi kahin jati hai
toD de jam-o-subu
tishnagi nam hai jine ka
mujhe jine de
tishnagi roz-e-azal se hai rafiq-e-dil-o-jaan
tishnagi wajh-e-talab
zauq-e-talab husn-e-talab
tishnagi par hai zamane ka madar
raaten jo aankhon hi aankhon mein basar hoti hain
raaten jo pichhle pahar ashkon se munh dhoti hain
subh hoti hai to pi jata hai suraj un ko
raat Dhal jati hai shabnam ke hasin qatron mein
subh-dam phulon ke lakhon saghar
muntazir hote hain suraj ke liye
ye subuhi
ki jise pi ke damak uThta hai
ru-e-KHurshid-e-jahan-tab
shuaen jis ki
naginen ban ke har ek bund ko pi jati hain
bund aansu ki ho
ya shabnam ki
kurra-e-arz pe baqi nahin rahne pati
KHushk ho jate hain sab
gul-e-tar
dida-e-tar
koi KHurshid ki saffak tapish pi jae
raat ke chand ka aalam dekho
chand ek ghunT mein pi jata hai suraj ki tapish
shabnam-o-ashk dua karte hain
ki zamane mein sahar ho na kabhi
aur ye silsila-e-tishna-labi
ai KHuda dahr mein jari hai na jaane kab se
kaise manun
lab-e-lalin ke hazaron bose
ruh ki pyas bujha sakte hain
ishq sairab nahin ho sakta
ye chhalakta hua jam
main ise pi na sakunga saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.