titli ki basti
titlī ke pīchhe pīchhe
titlī ke pīchhe pīchhe
ham bhī dauḌe jā.eñge
jā ke dekheñge ye rahtī hai kahāñ
titlī aage aage jaa.e
Tolī hamārī dauḌ lagā.e
phāñd ga.e jo raah meñ aa.e
saare gamloñ ko phoḌā
saare paudoñ ko toḌā
ham bhī baaz na ā.eñge
chale jā.eñge ye jā.egī jahāñ
titlī ke pīchhe pīchhe
rang-birangī nannhī titlī
uḌte uḌte baaġh se niklī
parbat parbat vaadī vaadī
kirnoñ kī bastī meñ pahuñchī
ḳhushbū kī nagrī meñ pahuñchī
dekh ke dang rah jā.eñge
aisā des ham ne dekhā thā kahāñ
titlī ke pīchhe pīchhe
is meñ pyaar hī pyaar bharā thā
pyaar kā sūraj ubhar rahā thā
rang paroñ kā nikhar rahā thā
saare the dukh-sukh ke sāthī
dil meñ ulfat aur vafā thī
ab ham vāpas jā.eñge
aur basā.eñge ik aisā hī jahāñ
titlī ke pīchhe pīchhe
titli ke pichhe pichhe
titli ke pichhe pichhe
hum bhi dauDe jaenge
ja ke dekhenge ye rahti hai kahan
titli aage aage jae
Toli hamari dauD lagae
phand gae jo rah mein aae
sare gamlon ko phoDa
sare paudon ko toDa
hum bhi baz na aaenge
chale jaenge ye jaegi jahan
titli ke pichhe pichhe
rang-birangi nannhi titli
uDte uDte bagh se nikli
parbat parbat wadi wadi
kirnon ki basti mein pahunchi
KHushbu ki nagri mein pahunchi
dekh ke dang rah jaenge
aisa des hum ne dekha tha kahan
titli ke pichhe pichhe
is mein pyar hi pyar bhara tha
pyar ka suraj ubhar raha tha
rang paron ka nikhar raha tha
sare the dukh-sukh ke sathi
dil mein ulfat aur wafa thi
ab hum wapas jaenge
aur basaenge ek aisa hi jahan
titli ke pichhe pichhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.