titliyon ko uDne do
ye titliyāñ kitnī pyārī hotī haiñ
rang-birangī
aur jab ye phūloñ par iThlātī uḌtī haiñ
to kitnī sundar lagtī haiñ
hai na
jaise āñgan meñ beTiyāñ
lekin
beTiyāñ to aur bhī sundar pyārī hotī haiñ
kyūñki vo phuul bhī haiñ titliyāñ bhī
khiltī bhī haiñ ye aur uḌtī bhī haiñ
hai na
ek pitā kī ḳhushiyāñ
bhaa.ī kā pyaar
kisī kā ḳhvāb aur zindagī hotī haiñ
tum sochnā ye haiñ kyā
aur haañ hazāroñ lākhoñ baar sochnā
in par apnī ek nigāh se pahle
jis ke ḳhayāl-bhar se
tum pal-bhar meñ vahshī ho jaate ho
aur bhuul jaate ho
ki tum bhī to kisī ke pitā bhaa.ī yā premī ho
aur nahīñ ho to kabhī ho jaao
aur kahīñ koī un kī taraf
tumhārī vahshī nigāheñ Daale
ḳhair
ye koī duā yā badduā nahīñ hai
maiñ to ye kah rahā huuñ ki titliyoñ ko uḌne do
ye titliyan kitni pyari hoti hain
rang-birangi
aur jab ye phulon par iThlati uDti hain
to kitni sundar lagti hain
hai na
jaise aangan mein beTiyan
lekin
beTiyan to aur bhi sundar pyari hoti hain
kyunki wo phul bhi hain titliyan bhi
khilti bhi hain ye aur uDti bhi hain
hai na
ek pita ki KHushiyan
bhai ka pyar
kisi ka KHwab aur zindagi hoti hain
tum sochna ye hain kya
aur han hazaron lakhon bar sochna
in par apni ek nigah se pahle
jis ke KHayal-bhar se
tum pal-bhar mein wahshi ho jate ho
aur bhul jate ho
ki tum bhi to kisi ke pita bhai ya premi ho
aur nahin ho to kabhi ho jao
aur kahin koi un ki taraf
tumhaari wahshi nigahen Dale
KHair
ye koi dua ya baddua nahin hai
main to ye kah raha hun ki titliyon ko uDne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.