to aisa kyun nahin karte
to aisā kyuuñ nahīñ kahte
ki ye sapne hī mere karb ke zāmin haiñ un ke hī sabab se maiñ
jhulaste reg-zāroñ meñ barahna-pā bhaTaktā huuñ
inhī parchhā.iyoñ ko jism dene kī tamannā mujh se āsā.ish kā har lamha
maze kī niiñd āsābī sukūñ sab chhīn letī hai
yahī vo zahr hai jis ne
mire ḳhuuñ ke namak ko niim ke ras meñ badal Daalā
to aisā kyuuñ nahīñ kahte
ki maiñ sapnoñ ke is arzañg ko
sūraj kī jaltī bhaTTiyoñ meñ pheñk duuñ sab kuchh jalā Dālūñ
kisī lañgar-shikasta naav kī mānind dhāre par ravāñ ho jā.ūñ
har ik mauj ke hamrāh Dūbūñ aur ubhar aa.uuñ
to aisā kyuuñ na kar paa.e
vo jo kuchh merā hissa thā
mirā virsa thā
mujh se chhīn lete aur mujhe jañgal ke behis peḌ kī mānind ugā dete
jo har mausam ke hamrāh apnā pairāhan badaltā hai
havā ke jhoñke dete haiñ ijāzat jis taraf baḌhne kī baḌhtā hai
zamīñ kī narmiyoñ ko dekh kar apnī jaḌeñ paivast kartā hai
magar tum ye na kar paa.e
mirā virsa na mujh se chhīn paa.e aur vo pahlā shaḳhs jis ne sab se pahlā ḳhvāb dekhā thā
abhī tak mujh meñ zinda hai
to aisā kyuuñ nahīñ karte
unhī sapnoñ unhī parchhā.iyoñ ko jism de Daalo
jinheñ ik jism dene kī tamannā mujh se āsā.ish kā har lamha
maze kī niiñd a.asābī sukūñ sab chhīn letī hai
to aisa kyun nahin kahte
ki ye sapne hi mere karb ke zamin hain un ke hi sabab se main
jhulaste reg-zaron mein barahna-pa bhaTakta hun
inhi parchhaiyon ko jism dene ki tamanna mujh se aasaish ka har lamha
maze ki nind aasabi sukun sab chhin leti hai
yahi wo zahr hai jis ne
mere KHun ke namak ko nim ke ras mein badal Dala
to aisa kyun nahin kahte
ki main sapnon ke is arzang ko
suraj ki jalti bhaTTiyon mein phenk dun sab kuchh jala Dalun
kisi langar-shikasta naw ki manind dhaare par rawan ho jaun
har ek mauj ke hamrah Dubun aur ubhar aaun
to aisa kyun na kar pae
wo jo kuchh mera hissa tha
mera wirsa tha
mujh se chhin lete aur mujhe jangal ke behis peD ki manind uga dete
jo har mausam ke hamrah apna pairahan badalta hai
hawa ke jhonke dete hain ijazat jis taraf baDhne ki baDhta hai
zamin ki narmiyon ko dekh kar apni jaDen paiwast karta hai
magar tum ye na kar pae
mera wirsa na mujh se chhin pae aur wo pahla shaKHs jis ne sab se pahla KHwab dekha tha
abhi tak mujh mein zinda hai
to aisa kyun nahin karte
unhi sapnon unhi parchhaiyon ko jism de Dalo
jinhen ek jism dene ki tamanna mujh se aasaish ka har lamha
maze ki nind aasabi sukun sab chhin leti hai
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-270 p-258)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.