to phir mar jao
show shurūa hone se bahut pahle
hall bhar chukā thā
shīshe ke baḌe chamber meñ
paanī bhar kar
bāzīgar ne āḳhirī Dubkī lagā.ī
aur logoñ ne dekhā
us ke hāthoñ kī zanjīreñ
muqaffal thiiñ
jinheñ vo jān-būjh kar
muqarrara vaqt ke andar
kholnā bhuul gayā thā
us kī be-jān khulī āñkhoñ meñ
guzashta raat us kī mahbūba ke kahe hue
alfāz kanda the
show shurua hone se bahut pahle
hall bhar chuka tha
shishe ke baDe chamber mein
pani bhar kar
bazigar ne aaKHiri Dubki lagai
aur logon ne dekha
us ke hathon ki zanjiren
muqaffal thin
jinhen wo jaan-bujh kar
muqarrara waqt ke andar
kholna bhul gaya tha
us ki be-jaan khuli aankhon mein
guzashta raat us ki mahbuba ke kahe hue
alfaz kanda the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.