to ye bhi hoga
ye saare rishte tamām chehre
jinheñ tum apnā samajh rahe ho ye sab tumheñ ajnabī lageñge
bulandiyoñ ke har ik safar par baḌī mohabbat
jatā.egā ye hujūm-e-yārāñ
sabhī ke lafzoñ meñ shahd hogā sabhī ke hāthoñ meñ phuul hoñge
magar diloñ meñ babūl hoñge
bulandiyoñ ke safar se lauTo to un ke chehroñ pe ġhaur karnā bujhe bujhe se tum un ke lahjoñ pe ġhaur karnā tamām chehre malūl hoñge
har ik suḳhan meñ chubhan milegī
har ik sadā meñ thakan milegī
har ik jabīñ par shikan milegī
rafāqatoñ ke badalte manzar tumheñ jo hairat-zada kareñ to ye ġhaur karnā
masāfatoñ ke baġhair āḳhir badan sabhī ke niDhāl kyoñ haiñ
baġhair ḳhatt-e-urūj khīñche
ayaañ ye ḳhatt-e-zavāl kyoñ haiñ
safar to tum ne kiye haiñ lekin musāfirat kī ye gard kaise tamām āñkhoñ meñ bhar ga.ī hai tamām chehroñ pe jam ga.ī hai
pas-e-rifāqat badalte rishtoñ kī ma.anaviyyat pe ġhaur karnā magar na hargiz udaas honā tum un se milte rahe ho jaise tum un se vaise hī milte rahnā hamesha un se vafā.eñ karnā aur un ke haq meñ duā.eñ karnā
ḳhudā unheñ bhī hidāyateñ de azal se ab tak yahī huā hai munāfiqoñ ne hamesha hoñToñ pe gul khilā.e hamesha hāthoñ meñ phuul rakkhe magar diloñ meñ babūl rakkhe
ye sare rishte tamam chehre
jinhen tum apna samajh rahe ho ye sab tumhein ajnabi lagenge
bulandiyon ke har ek safar par baDi mohabbat
jataega ye hujum-e-yaran
sabhi ke lafzon mein shahd hoga sabhi ke hathon mein phul honge
magar dilon mein babul honge
bulandiyon ke safar se lauTo to un ke chehron pe ghaur karna bujhe bujhe se tum un ke lahjon pe ghaur karna tamam chehre malul honge
har ek suKHan mein chubhan milegi
har ek sada mein thakan milegi
har ek jabin par shikan milegi
rafaqaton ke badalte manzar tumhein jo hairat-zada karen to ye ghaur karna
masafaton ke baghair aaKHir badan sabhi ke niDhaal kyon hain
baghair KHatt-e-uruj khinche
ayan ye KHatt-e-zawal kyon hain
safar to tum ne kiye hain lekin musafirat ki ye gard kaise tamam aankhon mein bhar gai hai tamam chehron pe jam gai hai
pas-e-rifaqat badalte rishton ki manawiyyat pe ghaur karna magar na hargiz udas hona tum un se milte rahe ho jaise tum un se waise hi milte rahna hamesha un se wafaen karna aur un ke haq mein duaen karna
KHuda unhen bhi hidayaten de azal se ab tak yahi hua hai munafiqon ne hamesha honTon pe gul khilae hamesha hathon mein phul rakkhe magar dilon mein babul rakkhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.