jawab-e-shikwa
dil se jo baat nikaltī hai asar rakhtī hai
par nahīñ tāqat-e-parvāz magar rakhtī hai
qudsi-ul-asl hai rif.at pe nazar rakhtī hai
ḳhaak se uThtī hai gardūñ pe guzar rakhtī hai
ishq thā fitnagar o sarkash o chālāk mirā
āsmāñ chiir gayā nāla-e-bebāk mirā
pīr-e-gardūñ ne kahā sun ke kahīñ hai koī
bole sayyāre sar-e-arsh-e-barīñ hai koī
chāñd kahtā thā nahīñ ahl-e-zamīñ hai koī
kahkashāñ kahtī thī poshīda yahīñ hai koī
kuchh jo samjhā mire shikve ko to rizvāñ samjhā
mujh ko jannat se nikālā huā insāñ samjhā
thī farishtoñ ko bhī hairat ki ye āvāz hai kyā
arsh vāloñ pe bhī khultā nahīñ ye raaz hai kyā
tā-sar-e-arsh bhī insāñ kī tag-o-tāz hai kyā
aa ga.ī ḳhaak kī chuTkī ko bhī parvāz hai kyā
ġhāfil ādāb se sukkān-e-zamīñ kaise haiñ
shoḳh o gustāḳh ye pastī ke makīñ kaise haiñ
is qadar shoḳh ki allāh se bhī barham hai
thā jo masjūd-e-malā.ik ye vahī aadam hai
ālim-e-kaif hai dānā-e-rumūz-e-kam hai
haañ magar ijz ke asrār se nā-mahram hai
naaz hai tāqat-e-guftār pe insānoñ ko
baat karne kā salīqa nahīñ nā-dānoñ ko
aa.ī āvāz ġham-añgez hai afsāna tirā
ashk-e-betāb se labrez hai paimāna tirā
āsmāñ-gīr huā nāra-e-mastāna tirā
kis qadar shoḳh-zabāñ hai dil-e-dīvāna tirā
shukr shikve ko kiyā husn-e-adā se tū ne
ham-suḳhan kar diyā bandoñ ko ḳhudā se tū ne
ham to mā.il-ba-karam haiñ koī saa.il hī nahīñ
raah dikhlā.eñ kise rah-rav-e-manzil hī nahīñ
tarbiyat aam to hai jauhar-e-qābil hī nahīñ
jis se ta.amīr ho aadam kī ye vo gil hī nahīñ
koī qābil ho to ham shān-e-ka.ī dete haiñ
DhūñDne vāloñ ko duniyā bhī na.ī dete haiñ
haath be-zor haiñ ilhād se dil ḳhūgar haiñ
ummatī bā.is-e-rusvā.i-e-paiġhambar haiñ
but-shikan uTh ga.e baaqī jo rahe but-gar haiñ
thā brāhīm pidar aur pisar aazar haiñ
bāda-āshām na.e baada nayā ḳhum bhī na.e
haram-e-kāba nayā but bhī na.e tum bhī na.e
vo bhī din the ki yahī māya-e-rānā.ī thā
nāzish-e-mausam-e-gul lāla-e-sahrā.ī thā
jo musalmān thā allāh kā saudā.ī thā
kabhī mahbūb tumhārā yahī harjā.ī thā
kisī yakjā.ī se ab ahd-e-ġhulāmī kar lo
millat-e-ahmad-e-mursil ko maqāmī kar lo
kis qadar tum pe girāñ sub.h kī bedārī hai
ham se kab pyaar hai haañ niiñd tumheñ pyārī hai
tab-e-āzād pe qaid-e-ramazāñ bhārī hai
tumhīñ kah do yahī ā.īn-e-vafādārī hai
qaum maz.hab se hai maz.hab jo nahīñ tum bhī nahīñ
jazb-e-bāham jo nahīñ mahfil-e-anjum bhī nahīñ
jin ko aatā nahīñ duniyā meñ koī fan tum ho
nahīñ jis qaum ko parvā-e-nasheman tum ho
bijliyāñ jis meñ hoñ āsūda vo ḳhirman tum ho
bech khāte haiñ jo aslāf ke madfan tum ho
ho niko naam jo qabroñ kī tijārat kar ke
kyā na bechoge jo mil jaa.eñ sanam patthar ke
safha-e-dahr se bātil ko miTāyā kis ne
nau-e-insāñ ko ġhulāmī se chhuḌāyā kis ne
mere ka.abe ko jabīnoñ se basāyā kis ne
mere qur.ān ko sīnoñ se lagāyā kis ne
the to aabā vo tumhāre hī magar tum kyā ho
haath par haath dhare muntazir-e-fardā ho
kyā kahā bahr-e-musalmāñ hai faqat vāda-e-hūr
shikva bejā bhī kare koī to lāzim hai shu.ūr
adl hai fātir-e-hastī kā azal se dastūr
muslim aa.iiñ huā kāfir to mile huur o qusūr
tum meñ hūroñ kā koī chāhne vaalā hī nahīñ
jalva-e-tūr to maujūd hai muusā hī nahīñ
manfa.at ek hai is qaum kā nuqsān bhī ek
ek hī sab kā nabī diin bhī īmān bhī ek
haram-e-pāk bhī allāh bhī qur.ān bhī ek
kuchh baḌī baat thī hote jo musalmān bhī ek
firqa-bandī hai kahīñ aur kahīñ zāteñ haiñ
kyā zamāne meñ panapne kī yahī bāteñ haiñ
kaun hai tārik-e-ā.īn-e-rasūl-e-muḳhtār
maslahat vaqt kī hai kis ke amal kā me.aar
kis kī āñkhoñ meñ samāyā hai shi.ār-e-aġhyār
ho ga.ī kis kī nigah tarz-e-salaf se be-zār
qalb meñ soz nahīñ ruuh meñ ehsās nahīñ
kuchh bhī paiġhām-e-mohammad kā tumheñ paas nahīñ
jā ke hote haiñ masājid meñ saf-ārā to ġharīb
zahmat-e-roza jo karte haiñ gavārā to ġharīb
naam letā hai agar koī hamārā to ġharīb
parda rakhtā hai agar koī tumhārā to ġharīb
umarā nashsha-e-daulat meñ haiñ ġhāfil ham se
zinda hai millat-e-baizā ġhorabā ke dam se
vā.iz-e-qaum kī vo puḳhta-ḳhayālī na rahī
barq-e-tab.ī na rahī shola-maqālī na rahī
rah ga.ī rasm-e-azāñ rūh-e-bilālī na rahī
falsafa rah gayā talqīn-e-ġhazālī na rahī
masjideñ marsiyāñ-ḳhvāñ haiñ ki namāzī na rahe
yaanī vo sahib-e-ausāf-e-hijāzī na rahe
shor hai ho ga.e duniyā se musalmāñ nābūd
ham ye kahte haiñ ki the bhī kahīñ muslim maujūd
vaz.a meñ tum ho nasārā to tamaddun meñ hunūd
ye musalmāñ haiñ jinheñ dekh ke sharmā.eñ yahūd
yuuñ to sayyad bhī ho mirzā bhī ho afġhān bhī ho
tum sabhī kuchh ho batāo to musalmān bhī ho
dam-e-taqrīr thī muslim kī sadāqat bebāk
adl us kā thā qavī laus-e-marā.āt se paak
shajar-e-fitrat-e-muslim thā hayā se namnāk
thā shujā.at meñ vo ik hasti-e-fauq-ul-idrāk
ḳhud-gudāzī nam-e-kaifiyat-e-sahbā-yash buud
ḳhālī-az-ḳhesh shudan sūrat-e-mīnā-yash buud
har musalmāñ rag-e-bātil ke liye nashtar thā
us ke ā.īna-e-hastī meñ amal jauhar thā
jo bharosā thā use quvvat-e-bāzū par thā
hai tumheñ maut kā Dar us ko ḳhudā kā Dar thā
baap kā ilm na beTe ko agar azbar ho
phir pisar qābil-e-mīrās-e-pidar kyūñkar ho
har koī mast-e-mai-e-zauq-e-tan-āsānī hai
tum musalmāñ ho ye andāz-e-musalmānī hai
haidarī faqr hai ne daulat-e-usmānī hai
tum ko aslāf se kyā nisbat-e-rūhānī hai
vo zamāne meñ muazziz the musalmāñ ho kar
aur tum ḳhvār hue tārik-e-qur.āñ ho kar
tum ho aapas meñ ġhazabnāk vo aapas meñ rahīm
tum ḳhatā-kār o ḳhatā-bīñ vo ḳhatā-posh o karīm
chāhte sab haiñ ki hoñ auj-e-surayyā pe muqīm
pahle vaisā koī paidā to kare qalb-e-salīm
taḳht-e-faġhfūr bhī un kā thā sarīr-e-ka.e bhī
yuuñ hī bāteñ haiñ ki tum meñ vo hamiyat hai bhī
ḳhud-kushī sheva tumhārā vo ġhayūr o ḳhuddār
tum uḳhuvvat se gurezāñ vo uḳhuvvat pe nisār
tum ho guftār sarāpā vo sarāpā kirdār
tum taraste ho kalī ko vo gulistāñ ba-kanār
ab talak yaad hai qaumoñ ko hikāyat un kī
naqsh hai safha-e-hastī pe sadāqat un kī
misl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhī hue
but-e-hindī kī mohabbat meñ birhman bhī hue
shauq-e-parvāz meñ mahjūr-e-nasheman bhī hue
be-amal the hī javāñ diin se bad-zan bhī hue
in ko tahzīb ne har band se āzād kiyā
lā ke ka.abe se sanam-ḳhāne meñ ābād kiyā
qais zahmat-kash-e-tanhā.i-e-sahrā na rahe
shahr kī khaa.e havā bādiya-paimā na rahe
vo to dīvāna hai bastī meñ rahe yā na rahe
ye zarūrī hai hijāb-e-ruḳh-e-lailā na rahe
gila-e-zaur na ho shikva-e-bedād na ho
ishq āzād hai kyuuñ husn bhī āzād na ho
ahd-e-nau barq hai ātish-zan-e-har-ḳhirman hai
aiman is se koī sahrā na koī gulshan hai
is na.ī aag kā aqvām-e-kuhan īñdhan hai
millat-e-ḳhatm-e-rusul shola-ba-pairāhan hai
aaj bhī ho jo brāhīm kā īmāñ paidā
aag kar saktī hai andāz-e-gulistāñ paidā
dekh kar rañg-e-chaman ho na pareshāñ maalī
Kaukab-e-ġhuncha se shāḳheñ haiñ chamakne vaalī
ḳhas o ḳhāshāk se hotā hai gulistāñ ḳhālī
ġhul-bar-andāz hai ḳhūn-e-shohdā kī laalī
rañg gardūñ kā zarā dekh to unnābī hai
ye nikalte hue sūraj kī ufuq-tābī hai
ummateñ gulshan-e-hastī meñ samar-chīda bhī haiñ
aur mahrūm-e-samar bhī haiñ ḳhizāñ-dīda bhī haiñ
saikḌoñ naḳhl haiñ kāhīda bhī bālīda bhī haiñ
saikḌoñ batn-e-chaman meñ abhī poshīda bhī haiñ
naḳhl-e-islām namūna hai birau-mandī kā
phal hai ye saikḌoñ sadiyoñ kī chaman-bandī kā
paak hai gard-e-vatan se sar-e-dāmāñ terā
tū vo yūsuf hai ki har misr hai kan.āñ terā
qāfila ho na sakegā kabhī vīrāñ terā
ġhair yak-bāñg-e-darā kuchh nahīñ sāmāñ terā
naḳhl-e-shama astī o dar shola do-resha-e-tū
āqibat-soz bavad sāya-e-andesha-e-tū
tū na miT jā.egā īrān ke miT jaane se
nashsha-e-mai ko ta.alluq nahīñ paimāne se
hai ayaañ yurish-e-tātār ke afsāne se
pāsbāñ mil ga.e ka.abe ko sanam-ḳhāne se
kashti-e-haq kā zamāne meñ sahārā tū hai
asr-e-nau-rāt hai dhundlā sā sitārā tū hai
hai jo hañgāma bapā yurish-e-bulġhārī kā
ġhāfiloñ ke liye paiġhām hai bedārī kā
tū samajhtā hai ye sāmāñ hai dil-āzārī kā
imtihāñ hai tire īsār kā ḳhuddārī kā
kyuuñ hirāsāñ hai sahīl-e-faras-e-ādā se
nūr-e-haq bujh na sakegā nafas-e-ādā se
chashm-e-aqvām se maḳhfī hai haqīqat terī
hai abhī mahfil-e-hastī ko zarūrat terī
zinda rakhtī hai zamāne ko harārat terī
kaukab-e-qismat-e-imkāñ hai ḳhilāfat terī
vaqt-e-fursat hai kahāñ kaam abhī baaqī hai
nūr-e-tauhīd kā itmām abhī baaqī hai
misl-e-bū qaid hai ġhunche meñ pareshāñ ho jā
raḳht-bar-dosh havā-e-chamanistāñ ho jā
hai tunak-māya tū zarre se bayābāñ ho jā
naġhma-e-mauj hai hañgāma-e-tūfāñ ho jā
quvvat-e-ishq se har past ko baalā kar de
dahr meñ ism-e-mohammad se ujālā kar de
ho na ye phuul to bulbul kā tarannum bhī na ho
chaman-e-dahr meñ kaliyoñ kā tabassum bhī na ho
ye na saaqī ho to phir mai bhī na ho ḳhum bhī na ho
bazm-e-tauhīd bhī duniyā meñ na ho tum bhī na ho
ḳhema-e-aflāk kā istāda isī naam se hai
nabz-e-hastī tapish-āmāda isī naam se hai
dasht meñ dāman-e-kohsār meñ maidān meñ hai
bahr meñ mauj kī āġhosh meñ tūfān meñ hai
chiin ke shahr marāqash ke bayābān meñ hai
aur poshīda musalmān ke īmān meñ hai
chashm-e-aqvām ye nazzāra abad tak dekhe
rif.at-e-shān-e-rafānā-lakā-zikrak dekhe
mardum-e-chashm-e-zamīñ yaanī vo kaalī duniyā
vo tumhāre shohdā pālne vaalī duniyā
garmī-e-mehr kī parvarda hilālī duniyā
ishq vaale jise kahte haiñ bilālī duniyā
tapish-andoz hai is naam se paare kī tarah
ġhota-zan nuur meñ hai aañkh ke taare kī tarah
aql hai terī sipar ishq hai shamshīr tirī
mire darvesh ḳhilāfat hai jahāñgīr tirī
mā-sivā-allāh ke liye aag hai takbīr tirī
tū musalmāñ ho to taqdīr hai tadbīr tirī
kī mohammad se vafā tū ne to ham tere haiñ
ye jahāñ chiiz hai kyā lauh-o-qalam tere haiñ
dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai
par nahin taqat-e-parwaz magar rakhti hai
qudsi-ul-asl hai rifat pe nazar rakhti hai
KHak se uThti hai gardun pe guzar rakhti hai
ishq tha fitnagar o sarkash o chaalak mera
aasman chir gaya nala-e-bebak mera
pir-e-gardun ne kaha sun ke kahin hai koi
bole sayyare sar-e-arsh-e-barin hai koi
chand kahta tha nahin ahl-e-zamin hai koi
kahkashan kahti thi poshida yahin hai koi
kuchh jo samjha mere shikwe ko to rizwan samjha
mujh ko jannat se nikala hua insan samjha
thi farishton ko bhi hairat ki ye aawaz hai kya
arsh walon pe bhi khulta nahin ye raaz hai kya
ta-sar-e-arsh bhi insan ki tag-o-taz hai kya
aa gai KHak ki chuTki ko bhi parwaz hai kya
ghafil aadab se sukkan-e-zamin kaise hain
shoKH o gustaKH ye pasti ke makin kaise hain
is qadar shoKH ki allah se bhi barham hai
tha jo masjud-e-malaik ye wahi aadam hai
aalim-e-kaif hai dana-e-rumuz-e-kam hai
han magar ijz ke asrar se na-mahram hai
naz hai taqat-e-guftar pe insanon ko
baat karne ka saliqa nahin na-danon ko
aai aawaz gham-angez hai afsana tera
ashk-e-betab se labrez hai paimana tera
aasman-gir hua nara-e-mastana tera
kis qadar shoKH-zaban hai dil-e-diwana tera
shukr shikwe ko kiya husn-e-ada se tu ne
ham-suKHan kar diya bandon ko KHuda se tu ne
hum to mail-ba-karam hain koi sail hi nahin
rah dikhlaen kise rah-raw-e-manzil hi nahin
tarbiyat aam to hai jauhar-e-qabil hi nahin
jis se tamir ho aadam ki ye wo gil hi nahin
koi qabil ho to hum shan-e-kai dete hain
DhunDne walon ko duniya bhi nai dete hain
hath be-zor hain ilhad se dil KHugar hain
ummati bais-e-ruswai-e-paighambar hain
but-shikan uTh gae baqi jo rahe but-gar hain
tha brahim pidar aur pisar aazar hain
baada-asham nae baada naya KHum bhi nae
haram-e-kaba naya but bhi nae tum bhi nae
wo bhi din the ki yahi maya-e-ranai tha
nazish-e-mausam-e-gul lala-e-sahrai tha
jo musalman tha allah ka saudai tha
kabhi mahbub tumhaara yahi harjai tha
kisi yakjai se ab ahd-e-ghulami kar lo
millat-e-ahmad-e-mursil ko maqami kar lo
kis qadar tum pe giran subh ki bedari hai
hum se kab pyar hai han nind tumhein pyari hai
tab-e-azad pe qaid-e-ramazan bhaari hai
tumhin kah do yahi aain-e-wafadari hai
qaum mazhab se hai mazhab jo nahin tum bhi nahin
jazb-e-baham jo nahin mahfil-e-anjum bhi nahin
jin ko aata nahin duniya mein koi fan tum ho
nahin jis qaum ko parwa-e-nasheman tum ho
bijliyan jis mein hon aasuda wo KHirman tum ho
bech khate hain jo aslaf ke madfan tum ho
ho niko nam jo qabron ki tijarat kar ke
kya na bechoge jo mil jaen sanam patthar ke
safha-e-dahr se baatil ko miTaya kis ne
nau-e-insan ko ghulami se chhuDaya kis ne
mere kabe ko jabinon se basaya kis ne
mere quran ko sinon se lagaya kis ne
the to aaba wo tumhaare hi magar tum kya ho
hath par hath dhare muntazir-e-farda ho
kya kaha bahr-e-musalman hai faqat wada-e-hur
shikwa beja bhi kare koi to lazim hai shuur
adl hai fatir-e-hasti ka azal se dastur
muslim aain hua kafir to mile hur o qusur
tum mein huron ka koi chahne wala hi nahin
jalwa-e-tur to maujud hai musa hi nahin
manfat ek hai is qaum ka nuqsan bhi ek
ek hi sab ka nabi din bhi iman bhi ek
haram-e-pak bhi allah bhi quran bhi ek
kuchh baDi baat thi hote jo musalman bhi ek
firqa-bandi hai kahin aur kahin zaten hain
kya zamane mein panapne ki yahi baaten hain
kaun hai tarik-e-ain-e-rasul-e-muKHtar
maslahat waqt ki hai kis ke amal ka mear
kis ki aankhon mein samaya hai shiar-e-aghyar
ho gai kis ki nigah tarz-e-salaf se be-zar
qalb mein soz nahin ruh mein ehsas nahin
kuchh bhi paigham-e-mohammad ka tumhein pas nahin
ja ke hote hain masajid mein saf-ara to gharib
zahmat-e-roza jo karte hain gawara to gharib
nam leta hai agar koi hamara to gharib
parda rakhta hai agar koi tumhaara to gharib
umara nashsha-e-daulat mein hain ghafil hum se
zinda hai millat-e-baiza ghoraba ke dam se
waiz-e-qaum ki wo puKHta-KHayali na rahi
barq-e-tabi na rahi shola-maqali na rahi
rah gai rasm-e-azan ruh-e-bilali na rahi
falsafa rah gaya talqin-e-ghazali na rahi
masjiden marsiyan-KHwan hain ki namazi na rahe
yani wo sahib-e-ausaf-e-hijazi na rahe
shor hai ho gae duniya se musalman nabud
hum ye kahte hain ki the bhi kahin muslim maujud
waza mein tum ho nasara to tamaddun mein hunud
ye musalman hain jinhen dekh ke sharmaen yahud
yun to sayyad bhi ho mirza bhi ho afghan bhi ho
tum sabhi kuchh ho batao to musalman bhi ho
dam-e-taqrir thi muslim ki sadaqat bebak
adl us ka tha qawi laus-e-maraat se pak
shajar-e-fitrat-e-muslim tha haya se namnak
tha shujaat mein wo ek hasti-e-fauq-ul-idrak
KHud-gudazi nam-e-kaifiyat-e-sahba-yash bud
KHali-az-KHesh shudan surat-e-mina-yash bud
har musalman rag-e-baatil ke liye nashtar tha
us ke aaina-e-hasti mein amal jauhar tha
jo bharosa tha use quwwat-e-bazu par tha
hai tumhein maut ka Dar us ko KHuda ka Dar tha
bap ka ilm na beTe ko agar azbar ho
phir pisar qabil-e-miras-e-pidar kyunkar ho
har koi mast-e-mai-e-zauq-e-tan-asani hai
tum musalman ho ye andaz-e-musalmani hai
haidari faqr hai ne daulat-e-usmani hai
tum ko aslaf se kya nisbat-e-ruhani hai
wo zamane mein muazziz the musalman ho kar
aur tum KHwar hue tarik-e-quran ho kar
tum ho aapas mein ghazabnak wo aapas mein rahim
tum KHata-kar o KHata-bin wo KHata-posh o karim
chahte sab hain ki hon auj-e-surayya pe muqim
pahle waisa koi paida to kare qalb-e-salim
taKHt-e-faghfur bhi un ka tha sarir-e-kae bhi
yun hi baaten hain ki tum mein wo hamiyat hai bhi
KHud-kushi shewa tumhaara wo ghayur o KHuddar
tum uKHuwwat se gurezan wo uKHuwwat pe nisar
tum ho guftar sarapa wo sarapa kirdar
tum taraste ho kali ko wo gulistan ba-kanar
ab talak yaad hai qaumon ko hikayat un ki
naqsh hai safha-e-hasti pe sadaqat un ki
misl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhi hue
but-e-hindi ki mohabbat mein birhman bhi hue
shauq-e-parwaz mein mahjur-e-nasheman bhi hue
be-amal the hi jawan din se bad-zan bhi hue
in ko tahzib ne har band se aazad kiya
la ke kabe se sanam-KHane mein aabaad kiya
qais zahmat-kash-e-tanhai-e-sahra na rahe
shahr ki khae hawa baadiya-paima na rahe
wo to diwana hai basti mein rahe ya na rahe
ye zaruri hai hijab-e-ruKH-e-laila na rahe
gila-e-zaur na ho shikwa-e-bedad na ho
ishq aazad hai kyun husn bhi aazad na ho
ahd-e-nau barq hai aatish-zan-e-har-KHirman hai
aiman is se koi sahra na koi gulshan hai
is nai aag ka aqwam-e-kuhan indhan hai
millat-e-KHatm-e-rusul shola-ba-pairahan hai
aaj bhi ho jo brahim ka iman paida
aag kar sakti hai andaz-e-gulistan paida
dekh kar rang-e-chaman ho na pareshan mali
Kaukab-e-ghuncha se shaKHen hain chamakne wali
KHas o KHashak se hota hai gulistan KHali
ghul-bar-andaz hai KHun-e-shohda ki lali
rang gardun ka zara dekh to unnabi hai
ye nikalte hue suraj ki ufuq-tabi hai
ummaten gulshan-e-hasti mein samar-chida bhi hain
aur mahrum-e-samar bhi hain KHizan-dida bhi hain
saikDon naKHl hain kahida bhi baalida bhi hain
saikDon batn-e-chaman mein abhi poshida bhi hain
naKHl-e-islam namuna hai birau-mandi ka
phal hai ye saikDon sadiyon ki chaman-bandi ka
pak hai gard-e-watan se sar-e-daman tera
tu wo yusuf hai ki har misr hai kanan tera
qafila ho na sakega kabhi viran tera
ghair yak-bang-e-dara kuchh nahin saman tera
naKHl-e-shama asti o dar shola do-resha-e-tu
aaqibat-soz bawad saya-e-andesha-e-tu
tu na miT jaega iran ke miT jaane se
nashsha-e-mai ko talluq nahin paimane se
hai ayan yurish-e-tatar ke afsane se
pasban mil gae kabe ko sanam-KHane se
kashti-e-haq ka zamane mein sahaara tu hai
asr-e-nau-raat hai dhundla sa sitara tu hai
hai jo hangama bapa yurish-e-bulghaari ka
ghafilon ke liye paigham hai bedari ka
tu samajhta hai ye saman hai dil-azari ka
imtihan hai tere isar ka KHuddari ka
kyun hirasan hai sahil-e-faras-e-ada se
nur-e-haq bujh na sakega nafas-e-ada se
chashm-e-aqwam se maKHfi hai haqiqat teri
hai abhi mahfil-e-hasti ko zarurat teri
zinda rakhti hai zamane ko hararat teri
kaukab-e-qismat-e-imkan hai KHilafat teri
waqt-e-fursat hai kahan kaam abhi baqi hai
nur-e-tauhid ka itmam abhi baqi hai
misl-e-bu qaid hai ghunche mein pareshan ho ja
raKHt-bar-dosh hawa-e-chamanistan ho ja
hai tunak-maya tu zarre se bayaban ho ja
naghma-e-mauj hai hangama-e-tufan ho ja
quwwat-e-ishq se har past ko baala kar de
dahr mein ism-e-mohammad se ujala kar de
ho na ye phul to bulbul ka tarannum bhi na ho
chaman-e-dahr mein kaliyon ka tabassum bhi na ho
ye na saqi ho to phir mai bhi na ho KHum bhi na ho
bazm-e-tauhid bhi duniya mein na ho tum bhi na ho
KHema-e-aflak ka istada isi nam se hai
nabz-e-hasti tapish-amada isi nam se hai
dasht mein daman-e-kohsar mein maidan mein hai
bahr mein mauj ki aaghosh mein tufan mein hai
chin ke shahr maraqash ke bayaban mein hai
aur poshida musalman ke iman mein hai
chashm-e-aqwam ye nazzara abad tak dekhe
rifat-e-shan-e-rafana-laka-zikrak dekhe
mardum-e-chashm-e-zamin yani wo kali duniya
wo tumhaare shohda palne wali duniya
garmi-e-mehr ki parwarda hilali duniya
ishq wale jise kahte hain bilali duniya
tapish-andoz hai is nam se pare ki tarah
ghota-zan nur mein hai aankh ke tare ki tarah
aql hai teri sipar ishq hai shamshir teri
mere darwesh KHilafat hai jahangir teri
ma-siwa-allah ke liye aag hai takbir teri
tu musalman ho to taqdir hai tadbir teri
ki mohammad se wafa tu ne to hum tere hain
ye jahan chiz hai kya lauh-o-qalam tere hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.