harf-e-aKHir
ye aadmī kī guzargāh-e-shāhrāh-e-hayāt
hazāroñ saal kā bār-e-garāñ uThā.e hue
jabīñ pe kātib-e-taqdīr kī jalī tahrīr
gale se saikḌoñ naqsh-e-qadam lagā.e hue
guzarte vaqt ke gard-o-ġhubār ke nīche
hasīn jism kī tābindagī chhupā.e hue
guzishta daur kī tahzīb kī manāzil ko
javān maañ kī tarah god meñ sulā.e hue
ye aadmī kī guzargāh-e-shāhrāh-e-hayāt
hazāroñ saal kā bār-e-garāñ uThā.e hue
idhar se guzre haiñ chañgez-o-nādir-o-taimūr
lahū meñ bhīgī huī mish.aleñ jalā.e hue
ġhulāmoñ aur kanīzoñ ke kārvāñ aa.e
ḳhud apne ḳhuun meñ Duube hue nahā.e hue
shikasta dosh pe dīvār-e-chīn ko laade
saroñ pe misr ke ehrām ko uThā.e hue
jalāl-e-shaiḳh-o-shikoh-e-barhamanī ke julūs
havas ke sīnoñ meñ ātish-kade chhupā.e hue
jahālatoñ kī tavīl-o-arīz parchhā.īñ
tavahhumāt kī tārīkiyāñ jagā.e hue
safed qaum ke ayyār tājiroñ ke giroh
fareb-o-makr se apnī dukāñ sajā.e hue
shikast-ḳhurda siyāsī gadāgaroñ ke hujūm
adab se TuuTī huī gardaneñ jhukā.e hue
ġhamoñ se chuur musāfir thake hue raahī
charāġh-e-rūh ke dil ke kañval bujhā.e hue
ye aadmī kī guzargāh-e-shāhrāh-e-hayāt
hazāroñ saal kā bār-e-garāñ uThā.e hue
na.e ufuq se na.e qāfiloñ kī aamad hai
charāġh-e-vaqt kī rañgīn lau baḌhā.e hue
baġhāvatoñ kī sipah inqalāb ke lashkar
zamīñ pe paañv falak pe nazar jamā.e hue
ġhurūr-e-fat.h ke parcham havā meñ lahrāte
sabāt-o-azm ke ūñche alam uThā.e hue
hatheliyoñ pe liye āftāb aur mahtāb
baġhal meñ kurra-e-arz-e-hasīñ dabā.e hue
uTho aur uTh ke inheñ qāfiloñ meñ mil jaao
jo manziloñ ko haiñ gard-e-safar banā.e hue
qadam baḌhā.e hue haiñ mujāhidān-e-vatan
mujāhidān-e-vatan haiñ qadam baḌhā.e hue
ye aadmi ki guzargah-e-shahrah-e-hayat
hazaron sal ka bar-e-garan uThae hue
jabin pe katib-e-taqdir ki jali tahrir
gale se saikDon naqsh-e-qadam lagae hue
guzarte waqt ke gard-o-ghubar ke niche
hasin jism ki tabindagi chhupae hue
guzishta daur ki tahzib ki manazil ko
jawan man ki tarah god mein sulae hue
ye aadmi ki guzargah-e-shahrah-e-hayat
hazaron sal ka bar-e-garan uThae hue
idhar se guzre hain changez-o-nadir-o-taimur
lahu mein bhigi hui mishalen jalae hue
ghulamon aur kanizon ke karwan aae
KHud apne KHun mein Dube hue nahae hue
shikasta dosh pe diwar-e-chin ko lade
saron pe misr ke ehram ko uThae hue
jalal-e-shaiKH-o-shikoh-e-barhamani ke julus
hawas ke sinon mein aatish-kade chhupae hue
jahaalaton ki tawil-o-ariz parchhain
tawahhumat ki tarikiyan jagae hue
safed qaum ke ayyar tajiron ke giroh
fareb-o-makr se apni dukan sajae hue
shikast-KHurda siyasi gadagaron ke hujum
adab se TuTi hui gardanen jhukae hue
ghamon se chur musafir thake hue rahi
charagh-e-ruh ke dil ke kanwal bujhae hue
ye aadmi ki guzargah-e-shahrah-e-hayat
hazaron sal ka bar-e-garan uThae hue
nae ufuq se nae qafilon ki aamad hai
charagh-e-waqt ki rangin lau baDhae hue
baghawaton ki sipah inqalab ke lashkar
zamin pe panw falak pe nazar jamae hue
ghurur-e-fath ke parcham hawa mein lahraate
sabaat-o-azm ke unche alam uThae hue
hatheliyon pe liye aaftab aur mahtab
baghal mein kurra-e-arz-e-hasin dabae hue
uTho aur uTh ke inhen qafilon mein mil jao
jo manzilon ko hain gard-e-safar banae hue
qadam baDhae hue hain mujahidan-e-watan
mujahidan-e-watan hain qadam baDhae hue
- Book : kulliyat ali sardar jafari.1 (Pg. 271)
- Author : ali ahmad fatmi
- Publication : NCPUL (2004)
- Edition : 1100
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.