Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum nahin aae the jab

Ali Sardar Jafri

tum nahin aae the jab

Ali Sardar Jafri

MORE BYAli Sardar Jafri

    tum nahīñ aa.e the jab tab bhī to maujūd the tum

    aañkh meñ nuur aur dil meñ lahū sūrat

    dard lau tarah pyaar ḳhushbū tarah

    bevafā vādoñ dildārī andāz liye

    tum nahīñ aa.e the jab tab bhī to tum aa.e the

    raat ke siine meñ mahtāb ke ḳhanjar tarah

    sub.h ke haath meñ ḳhurshīd ke sāġhar tarah

    shāḳh-e-ḳhūñ-rañg-e-tamannā meñ gul-e-tar tarah

    tum nahīñ aaoge jab tab bhī to tum aaoge

    yaad tarah dhaḌakte hue dil sūrat

    ġham ke paimāna-e-sar-shār ko chhalkāte hue

    barg-hā-e-lab-o-ruḳhsār ko mahkāte hue

    dil ke bujhte hue añgāre ko dahkāte hue

    zulf-dar-zulf bikhar jā.egā phir raat rañg

    shab-e-tanhā.ī meñ bhī lutf-e-mulāqāt rañg

    roz lā.egī sabā kū-e-sabāhat se payām

    roz gā.egī sahar tahniyat-e-jashn-e-firāq

    aao aane kareñ bāteñ ki tum aa.e ho

    ab tum aa.e ho to maiñ kaun shai nazr karo

    ki mire paas ba-juz mehr o vafā kuchh bhī nahīñ

    ek ḳhūñ-gashta tamannā ke sivā kuchh bhī nahīñ

    tum nahin aae the jab tab bhi to maujud the tum

    aankh mein nur ki aur dil mein lahu ki surat

    dard ki lau ki tarah pyar ki KHushbu ki tarah

    bewafa wadon ki dildari ka andaz liye

    tum nahin aae the jab tab bhi to tum aae the

    raat ke sine mein mahtab ke KHanjar ki tarah

    subh ke hath mein KHurshid ke saghar ki tarah

    shaKH-e-KHun-rang-e-tamanna mein gul-e-tar ki tarah

    tum nahin aaoge jab tab bhi to tum aaoge

    yaad ki tarah dhaDakte hue dil ki surat

    gham ke paimana-e-sar-shaar ko chhalkate hue

    barg-ha-e-lab-o-ruKHsar ko mahkate hue

    dil ke bujhte hue angare ko dahkate hue

    zulf-dar-zulf bikhar jaega phir raat ka rang

    shab-e-tanhai mein bhi lutf-e-mulaqat ka rang

    roz laegi saba ku-e-sabahat se payam

    roz gaegi sahar tahniyat-e-jashn-e-firaq

    aao aane ki karen baaten ki tum aae ho

    ab tum aae ho to main kaun si shai nazr karo

    ki mere pas ba-juz mehr o wafa kuchh bhi nahin

    ek KHun-gashta tamanna ke siwa kuchh bhi nahin

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Jagjit Singh

    Jagjit Singh

    RECITATIONS

    Ali Sardar Jafri

    Ali Sardar Jafri,

    Ali Sardar Jafri

    tum nahin aae the jab Ali Sardar Jafri

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now