diwali
dīvālī
raghubir kī paak yaad kā unvāñ liye hue
zulmat ke ghar meñ jalva-e-tābāñ liye hue
tārīkiyoñ meñ nuur kā sāmāñ liye hue
aa.ī hai apne saath charāġhāñ liye hue
allāh-re ye taab ye tanvīr ye jamāl
ḳhurshīd kī nazar bhī hai jamnī yahāñ muhāl
taarī hai zāhidoñ pe bhī aalam surūr kā
ab kis liye ḳhayāl ho hūr-o-qusūr kā
aalam to dekhiye shab-e-yaldā pe nuur kā
julte haiñ ye charāġh ki jalva hai tuur kā
manzar bahisht kā hai ye shab hai shab-e-barāt
tanvīr-e-āftāb kā partav hai aaj raat
vo raam jo ki kāmil-e-sidq-o-safā rahā
vo raam jo ki sālik-e-rāh-e-huda rahā
vo raam jo ki ā.īna-e-haq-numā rahā
vo raam jo ki qāte-e-jaur-o-jafā rahā
ye raat yādgār hai us nek zaat kī
us paikar-e-ḳhulūs kī vaalā sifāt kī
chaudah baras ke ba.ad jo aayā vatan meñ raam
har lab thā vaqf-e-naġhma to har dil thā shād-kām
thī rashk-e-nūr sub.h-e-banaras avadh kī shaam
ahl-e-ayodhyā kī zabāñ par thā ye kalām
ham be-basoñ kā qāfila-sālār aa gayā
ban-bāsiyoñ kī fauj kā sardār aa gayā
diwali
raghubir ki pak yaad ka unwan liye hue
zulmat ke ghar mein jalwa-e-taban liye hue
tarikiyon mein nur ka saman liye hue
aai hai apne sath charaghan liye hue
allah-re ye tab ye tanwir ye jamal
KHurshid ki nazar bhi hai jamni yahan muhaal
tari hai zahidon pe bhi aalam surur ka
ab kis liye KHayal ho hur-o-qusur ka
aalam to dekhiye shab-e-yalda pe nur ka
julte hain ye charagh ki jalwa hai tur ka
manzar bahisht ka hai ye shab hai shab-e-baraat
tanwir-e-aftab ka partaw hai aaj raat
wo ram jo ki kaamil-e-sidq-o-safa raha
wo ram jo ki salik-e-rah-e-huda raha
wo ram jo ki aaina-e-haq-numa raha
wo ram jo ki qate-e-jaur-o-jafa raha
ye raat yaadgar hai us nek zat ki
us paikar-e-KHulus ki wala sifat ki
chaudah baras ke baad jo aaya watan mein ram
har lab tha waqf-e-naghma to har dil tha shad-kaam
thi rashk-e-nur subh-e-banaras awadh ki sham
ahl-e-ayodhya ki zaban par tha ye kalam
hum be-bason ka qafila-salar aa gaya
ban-basiyon ki fauj ka sardar aa gaya
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 234)
- Author : Arsh Malsiyanii
- Publication : Ali Hujwiri Publisher H. 811, A Androon, Akbari Gate,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.