punjab
zinda-dil punjab ke beTo tumheñ merā salām
tum parastār-e-gurū-nānak fidā-e-kirishn-o-rām
ye tumhārā des raaja drupd kā panchāl des
haañ vahī ranjīt-singh ke daur kā ḳhush-hāl des
nām-levā jin ke tum ho un kī sīrat be-misāl
un kī jur.at be-misāl un kī shujā.at be-misāl
is meñ sher-o-shā.erī hai is meñ raqs-o-rañg bhī
hiir vāris-shāh kī bhī hai rabāb-o-chañg bhī
vīr-singh aur amritā-pirītam yahāñ māhir yahāñ
'arsh' 'aḳhtar' 'josh' aur 'mahrūm' se shā.ir yahāñ
shīr-e-gul ke mū-qalam se ḳhāma-e-mānī ḳhajil
is kī tasvīroñ meñ hai betāb panjāban kā dil
lājpat-rā.e yahīñ jām-e-shahādat pī ga.e
jaane kitne qaum kī ḳhātir mare aur jī ga.e
sar-zamīn-e-hind kā ye bāzū-e-shamshīr-e-zan
jis ke mardān-e-jarī haiñ sho.ala-bār-o-saf-shikan
khetiyoñ meñ jis ke barakat jis ke khaliyānoñ meñ nuur
jis ke bāġhoñ meñ iram bas ke pahāḌoñ par hai tuur
jis ke mard-o-zan kā hissa-e-ḳhūb-rūī kā jalāl
jin ke chehroñ par chhiḌaktī hai tavānā.ī gulāl
bhākḌā-nañgal kī jis ne be-badal ta.amīr dī
apne farzandoñ ko jis ne ḳhūbī-e-tadbīr dī
jo masā.ib is ne jhele haiñ unheñ jhelegā kaun
khel jo himmat ke khele us ne vo khelegā kaun
zaḳhm jis ne apne siine par liyā taqsīm kā
chaak jis ne apne hāthoñ se siyā taqsīm kā
haañ usī ḳhush-vaqt ḳhāk-e-pāk ke beTe ho tum
meñ na mānūñgā ki aql-o-fahm ke heTe ho tum
maiñ na mānūñgā kudūrat fitrat-e-punjab hai
merā na.ara hai mohabbat fitrat-e-punjab hai
zinda-dil punjab ke beTo tumhein mera salam
tum parastar-e-guru-nanak fida-e-kirishn-o-ram
ye tumhaara des raja drupd ka panchaal des
han wahi ranjit-singh ke daur ka KHush-haal des
nam-lewa jin ke tum ho un ki sirat be-misal
un ki jurat be-misal un ki shujaat be-misal
is mein sher-o-shaeri hai is mein raqs-o-rang bhi
hir waris-shah ki bhi hai rabab-o-chang bhi
wir-singh aur amrita-piritam yahan mahir yahan
'arsh' 'aKHtar' 'josh' aur 'mahrum' se shair yahan
shir-e-gul ke mu-qalam se KHama-e-mani KHajil
is ki taswiron mein hai betab panjaban ka dil
lajpat-rae yahin jam-e-shahadat pi gae
jaane kitne qaum ki KHatir mare aur ji gae
sar-zamin-e-hind ka ye bazu-e-shamshir-e-zan
jis ke mardan-e-jari hain shoala-bar-o-saf-shikan
khetiyon mein jis ke barakat jis ke khaliyanon mein nur
jis ke baghon mein iram bas ke pahaDon par hai tur
jis ke mard-o-zan ka hissa-e-KHub-rui ka jalal
jin ke chehron par chhiDakti hai tawanai gulal
bhakDa-nangal ki jis ne be-badal tamir di
apne farzandon ko jis ne KHubi-e-tadbir di
jo masaib is ne jhele hain unhen jhelega kaun
khel jo himmat ke khele us ne wo khelega kaun
zaKHm jis ne apne sine par liya taqsim ka
chaak jis ne apne hathon se siya taqsim ka
han usi KHush-waqt KHak-e-pak ke beTe ho tum
mein na manunga ki aql-o-fahm ke heTe ho tum
main na manunga kudurat fitrat-e-punjab hai
mera nara hai mohabbat fitrat-e-punjab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.