diwaren
kahte haiñ sab log
hote haiñ
dīvāroñ ke kaan
kamroñ kī tanhā.ī meñ
sargoshī meñ kyā kyā bāteñ karte haiñ
chhup chhup kar jab log
dīvāreñ sab sun letī haiñ
sun lete haiñ log
dīvāroñ kī aañkh bhī hotī hai
kitnā achchhā hotā
aañkh hai kaan se behtar shāyad
kamre kā ho yā phir chaltī rāhguzar kā
nazzāra to nazzāra hai
manzar āḳhir manzar hai
kyā kyā karte log
dekhā karte log
dīvāroñ ke bāhar se
tārīkī meñ dīvāroñ kī jānib jab bhī qadam uThāte
lamha-bhar ko mumkin hai
sochā karte log
kahte hain sab log
hote hain
diwaron ke kan
kamron ki tanhai mein
sargoshi mein kya kya baaten karte hain
chhup chhup kar jab log
diwaren sab sun leti hain
sun lete hain log
diwaron ki aankh bhi hoti hai
kitna achchha hota
aankh hai kan se behtar shayad
kamre ka ho ya phir chalti rahguzar ka
nazzara to nazzara hai
manzar aaKHir manzar hai
kya kya karte log
dekha karte log
diwaron ke bahar se
tariki mein diwaron ki jaanib jab bhi qadam uThate
lamha-bhar ko mumkin hai
socha karte log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.