ek aurat
vo mauj ik maqām se
ufuq kī samt
phailtī chalī ga.ī
vo ek dā.ere se
saikḌoñ hasīn dā.eroñ meñ
dekhte hī dekhte badal ga.ī
har ek dā.ere meñ āftāb thā
har ek dā.ere meñ surḳh zahr thā
har ek dā.era hayāt-e-jāvedāñ
har ek dā.ere meñ marg-e-shādmāñ
vo ek thī
hazār sūratoñ meñ mere sāmne
tulūa jab huī
to merā āsmān ban ga.ī
na.ī aziim lazzatoñ ke darmiyāñ
maiñ apne mushta.il maqām se
ufuq kī samt phailtā chalā gayā
hisār-e-marg zindagī ko rauñdtā chalā gayā
wo mauj ek maqam se
ufuq ki samt
phailti chali gai
wo ek daere se
saikDon hasin daeron mein
dekhte hi dekhte badal gai
har ek daere mein aaftab tha
har ek daere mein surKH zahr tha
har ek daera hayat-e-jawedan
har ek daere mein marg-e-shadman
wo ek thi
hazar suraton mein mere samne
tulua jab hui
to mera aasman ban gai
nai azim lazzaton ke darmiyan
main apne mushtail maqam se
ufuq ki samt phailta chala gaya
hisar-e-marg zindagi ko raundta chala gaya
- Book : Lambi Barish (Pg. 78)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.