jang
tīrgī meñ bhayānak sadā.eñ uThīñ
aur dhuāñ sā fazāoñ meñ lahrā gayā
maut kī sī sapedī ufuq-tā-ufuq
tilmilāne lagī
aur phir ek dam
siskiyāñ chār-sū thartharā kar uThīñ
ek maañ sīna-kūbī se thak kar girī
ik bahan apnī āñkhoñ meñ aañsū liye
raah taktī rahī
ek nanhā khilaune kī ummīd meñ
sar ko dahlīz par rakh ke sotā rahā
ek ma.asūm sūrat darīche se sar ko lagā.e hue
ḳhvāb buntī rahī
muntazir thiiñ nigāheñ baḌī der se
muntazir hī rahīñ
maut kī sī sapedī ufuq-tā-ufuq
tilmilātī rahī
tirgi mein bhayanak sadaen uThin
aur dhuan sa fazaon mein lahra gaya
maut ki si sapedi ufuq-ta-ufuq
tilmilane lagi
aur phir ek dam
siskiyan chaar-su tharthara kar uThin
ek man sina-kubi se thak kar giri
ek bahan apni aankhon mein aansu liye
rah takti rahi
ek nanha khilaune ki ummid mein
sar ko dahliz par rakh ke sota raha
ek masum surat dariche se sar ko lagae hue
KHwab bunti rahi
muntazir thin nigahen baDi der se
muntazir hi rahin
maut ki si sapedi ufuq-ta-ufuq
tilmilati rahi
- Book : Lambi Barish (Pg. 24)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.