Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parinda

Balraj Komal

parinda

Balraj Komal

MORE BYBalraj Komal

    parinda āsmāñ nīlgūñ mehrāb ke us paar jaatā hai

    parinda bāl-o-par hai aañkh hai lekin

    sunahrī choñch se parvāz kartā hai

    saḌak par dhuup hai aur dhuup meñ sāyoñ ke nāḳhun haiñ

    gharoñ meñ ḳhol haiñ aur āñganoñ meñ ḳhaar ugte haiñ

    kisī kaun hai koī nahīñ sab ajnabī haiñ hairat-o-hasrat meñ zinda haiñ

    vo aurat hai

    vo ḳhvāhish ke lapakte ḳhanjaroñ se pyaar kartī hai

    vo us ham-safar hai ḳhāk-o-ḳhūñ us muqaddar hai

    ye mauj-e-āb hai ab phuul hai ab peḌ hai kal sirf patta hai

    agar ye zindagī karne koshish meñ pareshāñ haiñ

    ye aksar qatl karte haiñ

    ye aksar qatl hote haiñ

    lahū ke paar gulshan hai magar gulshan lahū meñ hai

    nigāhoñ meñ ujaḌte shahar mānind tasvīroñ mela hai

    hujūm-e-sañg-o-āhan meñ

    koī āvāz detā hai koī āvāz suntā hai

    magar āvāz se āvāz rishta nahīñ hotā

    magar āvāz se āvāz har har silsila be-kār hotā hai

    ye manzar tairtā hai āb-e-jū meñ haa.e lekin ajnabī kyuuñ hai

    maiñ manzar huuñ tasalsul huuñ

    magar maiñ ajnabī kyuuñ huuñ

    ye farsh-e-āb-o-gil mere liye ik silsila kyuuñ hai

    parinda āsmāñ nīlgūñ mehrāb ke us paar chāhtā huuñ

    parinda fāsla kyuuñ hai

    parinda māvarā kyuuñ hai

    parinda aasman ki nilgun mehrab ke us par jata hai

    parinda baal-o-par hai aankh hai lekin

    sunahri chonch se parwaz karta hai

    saDak par dhup hai aur dhup mein sayon ke naKHun hain

    gharon mein KHol hain aur aanganon mein KHar ugte hain

    kisi ka kaun hai koi nahin sab ajnabi hain hairat-o-hasrat mein zinda hain

    wo aurat hai

    wo KHwahish ke lapakte KHanjaron se pyar karti hai

    wo us ka ham-safar hai KHak-o-KHun us ka muqaddar hai

    ye mauj-e-ab hai ab phul hai ab peD hai kal sirf patta hai

    agar ye zindagi karne ki koshish mein pareshan hain

    ye aksar qatl karte hain

    ye aksar qatl hote hain

    lahu ke par gulshan hai magar gulshan lahu mein hai

    nigahon mein ujaDte shahar ki manind taswiron ka mela hai

    hujum-e-sang-o-ahan mein

    koi aawaz deta hai koi aawaz sunta hai

    magar aawaz se aawaz ka rishta nahin hota

    magar aawaz se aawaz ka har har silsila be-kar hota hai

    ye manzar tairta hai aab-e-ju mein hae lekin ajnabi kyun hai

    main manzar hun tasalsul hun

    magar main ajnabi kyun hun

    ye farsh-e-ab-o-gil mere liye ek silsila kyun hai

    parinda aasman ki nilgun mehrab ke us par chahta hun

    parinda fasla kyun hai

    parinda mawara kyun hai

    Source :
    • Book : Lambi Barish (Pg. 88)
    • Author : Balraj Komal
    • Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
    • Edition : 2002

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now