parindon bhara aasman
log kahte haiñ
āvāz kā
ek chehra bhī hotā hai
andāz bhī jism bhī
surḳh sūraj kā sonā
daraḳhtoñ ke us paar
mahtāb kī sīm-gūñ mauj-e-uryāñ
samundar kī āvezishoñ kā
pur-asrār naġhma
mohabbat kī lazzat kī garmī
kabhī shabnamī nannhī-munnī sī lorī
kahānī
siyahkār shab meñ
koī ḳhūn-ālūda bāb-e-adālat
mukāfāt kā silsila
dil kī vīrāniyoñ se guzartā huā
koī harf-e-malāmat
nadāmat
A Sky Full of Birds
hujūm-e-nuqūsh-e-farāvāñ kā hañgām
maiñ yaad kartā huuñ
āvāz chehra hasīñ jism
sab zāviye dā.ere aur qauseñ
shab-o-roz
raftār kī aag meñ
mauj-dar-mauj bahtī huī rāgnī
daur kī vādiyoñ meñ
sar-e-shām
dam toḌtī raushnī
naġhmagī raushnī naġhmagī
tīrgī bebasī ḳhāmushī
rañg-o-ḳhushbū se sarshār
sadiyoñ purānī zamīñ
duur jaatā huā kārvāñ
jism-e-āvāz kā vahshī be-zabāñ
ik junūñ ek ma.akūs barham sakūñ
zer-o-bam zer-o-bam
iztirāb iztirāb
ajnabī mausamoñ kā jahāñ
fāsloñ sarhadoñ se pare
vus.atoñ meñ pur-afshāñ
parindoñ bharā nīlgūñ be-karāñ nīlgūñ āsmāñ
A sound has a face
A grace and a form.
The gold of the sun
Beyond the trees,
The naked ripples
Of a silvery moon,
Mysterious song of
The turbulent sea,
Ecstasy of love
A soothing lullaby
On vicious nights -
A tale of blood,
Crying for blood.
In the wastes of heart -
Shafts of taunts,
Storms of shame.
log kahte hain
aawaz ka
ek chehra bhi hota hai
andaz bhi jism bhi
surKH suraj ka sona
daraKHton ke us par
mahtab ki sim-gun mauj-e-uryan
samundar ki aawezishon ka
pur-asrar naghma
mohabbat ki lazzat ki garmi
kabhi shabnami nannhi-munni si lori
kahani
siyahkar shab mein
koi KHun-aluda bab-e-adalat
mukafat ka silsila
dil ki viraniyon se guzarta hua
koi harf-e-malamat
nadamat
A Sky Full of Birds
hujum-e-nuqush-e-farawan ka hangam
main yaad karta hun
aawaz chehra hasin jism
sab zawiye daere aur qausen
shab-o-roz
raftar ki aag mein
mauj-dar-mauj bahti hui ragni
daur ki wadiyon mein
sar-e-sham
dam toDti raushni
naghmagi raushni naghmagi
tirgi bebasi KHamushi
rang-o-KHushbu se sarshaar
sadiyon purani zamin
dur jata hua karwan
jism-e-awaz ka wahshi be-zaban
ek junun ek makus barham sakun
zer-o-bam zer-o-bam
iztirab iztirab
ajnabi mausamon ka jahan
faslon sarhadon se pare
wusaton mein pur-afshan
parindon bhara nilgun be-karan nilgun aasman
A sound has a face
A grace and a form.
The gold of the sun
Beyond the trees,
The naked ripples
Of a silvery moon,
Mysterious song of
The turbulent sea,
Ecstasy of love
A soothing lullaby
On vicious nights -
A tale of blood,
Crying for blood.
In the wastes of heart -
Shafts of taunts,
Storms of shame.
- Book : Lambi Barish (Pg. 171)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.